(2) parliament
ham jaan chuke
ki is band kamre meñ
hamārī sāñsoñ par ghuTan-zada faisle likhe jaate haiñ
hamārī ārzuoñ ko bech kar dukh ḳharīde jaate haiñ
ḳhauf ko nigahbānī ke raaz batā.e jaate haiñ
aur anaaj ke naam par bhuuk taqsīm kī jaatī hai
band kamre meñ
jo khel khele jaate haiñ
un meñ hamārī haar likhī jaatī hai
magar...
ab ham ne jaan liyā
ki jab tak hamārī dastakoñ kā tūfān
is band kamre ko toḌ nahīñ detā
is ke andar jaarī vahshat-nāk khel ruk nahīñ saktā
hum jaan chuke
ki is band kamre mein
hamari sanson par ghuTan-zada faisle likhe jate hain
hamari aarzuon ko bech kar dukh KHaride jate hain
KHauf ko nigahbani ke raaz batae jate hain
aur anaj ke nam par bhuk taqsim ki jati hai
band kamre mein
jo khel khele jate hain
un mein hamari haar likhi jati hai
magar
ab hum ne jaan liya
ki jab tak hamari dastakon ka tufan
is band kamre ko toD nahin deta
is ke andar jari wahshat-nak khel ruk nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.