gandhi ji ki yaad mein
sulūk-e-nāravā-e-dār-e-fānī dekhte jaao
hamārā haal bhī ai āñ-jahānī dekhte jaao
na jaane tum kahāñ jā kar achānak ho ga.e pinhāñ
paḌī ham par jo aafat nā-gahānī dekhte jaao
bapā hai har taraf mātam siyah-poshī hai har jānib
zamāna kar rahā hai nauha-ḳhvānī dekhte jaao
suhāgan thā tire dam se ye hindustān ai baapū
huī barbād ab is kī javānī dekhte jaao
kabhī Daalo nazar hindostāñ ke baḳht-e-ḳhufta par
zarā nākāmiyoñ kī kāmrānī dekhte jaao
bahāreñ luT ga.iiñ saarī kī saarī vā.e-nākāmī
ḳhizāñ kī har taraf hai hukmrānī dekhte jaao
umīdoñ kā shajar murjhā gayā ham hind vāloñ kī
nihāl-e-ārzū kī ye nishānī dekhte jaao
jahāñ josh-e-nashāt-o-aish kī har-sū hukūmat thī
vahāñ yās-o-alam kī hukmrānī dekhte jaao
chaman meñ har taraf thī justujū gul kī anādil ko
faqat sayyād ko thī bad-gumānī dekhte jaao
tumheñ to dar-haqīqat chain hāsil ho gayā lekin
hamāre bahr-e-ġham kī be-karānī dekhte jaao
kahīñ koī nazar aatā nahīñ kis se kahe 'shāhid'
ḳhudārā hālat-e-dard-e-nihānī dekhte jaao
suluk-e-narawa-e-dar-e-fani dekhte jao
hamara haal bhi ai aan-jahani dekhte jao
na jaane tum kahan ja kar achanak ho gae pinhan
paDi hum par jo aafat na-gahani dekhte jao
bapa hai har taraf matam siyah-poshi hai har jaanib
zamana kar raha hai nauha-KHwani dekhte jao
suhagan tha tere dam se ye hindustan ai bapu
hui barbaad ab is ki jawani dekhte jao
kabhi Dalo nazar hindostan ke baKHt-e-KHufta par
zara nakaamiyon ki kaamrani dekhte jao
bahaaren luT gain sari ki sari wae-nakaami
KHizan ki har taraf hai hukmrani dekhte jao
umidon ka shajar murjha gaya hum hind walon ki
nihaal-e-arzu ki ye nishani dekhte jao
jahan josh-e-nashat-o-aish ki har-su hukumat thi
wahan yas-o-alam ki hukmrani dekhte jao
chaman mein har taraf thi justuju gul ki anadil ko
faqat sayyaad ko thi bad-gumani dekhte jao
tumhein to dar-haqiqat chain hasil ho gaya lekin
hamare bahr-e-gham ki be-karani dekhte jao
kahin koi nazar aata nahin kis se kahe 'shahid'
KHudara haalat-e-dard-e-nihani dekhte jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.