mahatma gandhi
ai faqīr-e-nīm-uryāñ ai vatan ke pāsbāñ
manzil-āsūda huā tere karam se kārvāñ
rashk-e-sad-shamshīr thā terā asā-e-be-zarar
us ke Dar se kāñpte the sāmrājī hukmrāñ
sehr thā terā takallum mo.ajiza terā sukūt
terī har tahrīr meñ thā ġhaib kā farmāñ nihāñ
qaum kī murda ragoñ meñ tū ne dauḌāyā lahū
hindiyoñ kī past himmat ko kiyā phir se javāñ
thā ḳhizāñ kā daur-daura ḳhema-zan sayyād the
tere dam se ban gayā sehn-e-chaman rashk-e-jināñ
hind kyā terī badaulat asia bedār hai
ek duniyā māntī hai terā ehsān-e-girāñ
thī farishtoñ se bhī bartar pāk-dāmānī tirī
nūr-e-bātin se tire raushan hue kaun-o-makāñ
aadmī ne tujh se sīkhā ihtirām-e-ādmī
ġhairiyat kā hind se tū ne miTā Daalā nishāñ
do-jahāñ meñ aadmī kā bol-bālā kar diyā
ādamiyyat ke liye qurbān kar ke naqd-e-jāñ
ham ko terī rahnumā.ī kī zarūrat thī abhī
aur udhar takte the terī raah ahl-e-āsmāñ
ik sitam thā rāhi-e-mulk-e-adam honā tirā
ġham se sar piiTā zamīñ ne ḳhuun royā āsmāñ
ai faqir-e-nim-uryan ai watan ke pasban
manzil-asuda hua tere karam se karwan
rashk-e-sad-shamshir tha tera asa-e-be-zarar
us ke Dar se kanpte the samraji hukmran
sehr tha tera takallum moajiza tera sukut
teri har tahrir mein tha ghaib ka farman nihan
qaum ki murda ragon mein tu ne dauDaya lahu
hindiyon ki past himmat ko kiya phir se jawan
tha KHizan ka daur-daura KHema-zan sayyaad the
tere dam se ban gaya sehn-e-chaman rashk-e-jinan
hind kya teri badaulat asia bedar hai
ek duniya manti hai tera ehsan-e-giran
thi farishton se bhi bartar pak-damani teri
nur-e-baatin se tere raushan hue kaun-o-makan
aadmi ne tujh se sikha ihtiram-e-admi
ghairiyat ka hind se tu ne miTa Dala nishan
do-jahan mein aadmi ka bol-baala kar diya
aadamiyyat ke liye qurban kar ke naqd-e-jaan
hum ko teri rahnumai ki zarurat thi abhi
aur udhar takte the teri rah ahl-e-asman
ek sitam tha rahi-e-mulk-e-adam hona tera
gham se sar piTa zamin ne KHun roya aasman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.