jab bhi jute KHarido
jab bhī juute ḳharīdo
to ye dhyān rakhnā
bahut narm hoñ
saḳht chamḌā na ho
aur bhārī na hoñ
ain mumkin hai ik din tumheñ apne logoñ ke siine pe chalnā paḌe
un kī rūheñ kuchalnā paḌeñ un ko taklīf utnī na ho un meñ nafrat ke tūfān palne lageñ
zahr muñh se ugalne lageñ
juute kaale na hoñ
varna un kī siyāhī dil-o-jāñ pe jam jā.egī aur bātin meñ kuchh ḳhair hogī
to mar jā.egī
un kī eḌī meñ narmī ho utnī
agar paañv dhartī pe maaro to un kī dhamak se go zehnī ḳhaliyoñ ko nuqsān na ho aur haDDiyāñ na ho
tasme vaale bhī juute na hoñ
un se sāzish ke phande na banñe lago aur phāñsī kī ḳhātir kahīñ
apne mohsin na chunñe lago
jab bhī juute ḳharīdo
jab bhi jute KHarido
to ye dhyan rakhna
bahut narm hon
saKHt chamDa na ho
aur bhaari na hon
ain mumkin hai ek din tumhein apne logon ke sine pe chalna paDe
un ki ruhen kuchalna paDen un ko taklif utni na ho un mein nafrat ke tufan palne lagen
zahr munh se ugalne lagen
jute kale na hon
warna un ki siyahi dil-o-jaan pe jam jaegi aur baatin mein kuchh KHair hogi
to mar jaegi
un ki eDi mein narmi ho utni
agar panw dharti pe maro to un ki dhamak se go zehni KHaliyon ko nuqsan na ho aur haDDiyan na ho
tasme wale bhi jute na hon
un se sazish ke phande na banne lago aur phansi ki KHatir kahin
apne mohsin na chunne lago
jab bhi jute KHarido
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.