chuna humne pahaDi rasta
chunā ham ne pahāḌī rāsta
aur samt kā bhārī salāsil toḌ kar
samtoñ kī nairañgī se ham vāqif hue
ubhrī chaTTānoñ se luḌhakne
ghāTiyoñ se karvaTeñ lene kī
ik bigḌī ravish
ham ne bhī apnā.ī
khaDDoñ kī tah meñ bahte pāniyoñ se
ham ne chalne kā chalan sīkhā
daraḳhtoñ aur phūloñ se
qatāreñ toḌne kī
aur havā se
muñh uThā kar apnī marzī se
ka.ī samtoñ meñ be-ārām hone kī adā sīkhī
zamāñ se ham ne sīkhā
sab zamānoñ meñ ravāñ honā
hameñ raas aa gayā kosoñ meñ chalnā
ufuq kī surma.ī mehrāb par nazreñ jamā.e
kisī sīdhī saḌak par
duur ik bastī ke siine se lage
barsoñ purāne
hichkiyāñ lete makāñ kī aur jaane kā junūñ
maddham paḌā
ham baT ga.e
chīḌhoñ kī shāḳhoñ se utartī katranoñ meñ
chunā ham ne pahāḌī rāsta
chuna hum ne pahaDi rasta
aur samt ka bhaari salasil toD kar
samton ki nairangi se hum waqif hue
ubhri chaTTanon se luDhakne
ghaTiyon se karwaTen lene ki
ek bigDi rawish
hum ne bhi apnai
khaDDon ki tah mein bahte paniyon se
hum ne chalne ka chalan sikha
daraKHton aur phulon se
qataren toDne ki
aur hawa se
munh uTha kar apni marzi se
kai samton mein be-aram hone ki ada sikhi
zaman se hum ne sikha
sab zamanon mein rawan hona
hamein ras aa gaya koson mein chalna
ufuq ki surmai mehrab par nazren jamae
kisi sidhi saDak par
dur ek basti ke sine se lage
barson purane
hichkiyan lete makan ki aur jaane ka junun
maddham paDa
hum baT gae
chiDhon ki shaKHon se utarti katranon mein
chuna hum ne pahaDi rasta
- Book : TASTEER (Pg. 110)
- Author : Nasiir Ahmed Nasir
- Publication : Room No.1, 1st Floor, Awaan Plaza, Shadmaan Market, Lahore (Issue No. 3 October/December. 1997)
- Edition : Issue No. 3 October/December. 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.