pashemani
maut kā raag nafīrī pe bajātī āuThī
lo jhulastī huī lau
āuThī
baḌhī
ret pe jaise dhuāñ uThtā ho
sarsarāhaT sī daraḳhtoñ meñ huī
patte murjhā ga.e
girne lage
vo un ke khaḌakne kī sadā mere ḳhudā
lū ke hamrāh baḌhe
maut ke naach kā niklā thā julūs
chauñk kar jaag uThe sehn-e-chaman meñ taa.ir
āshiyānoñ se judā.ī unheñ manzūr na thī
sahm kar uThe uḌe uḌ ke vahīñ aañ gire
un kī is āḳhirī fariyād kī ġhamnāk sadā mere ḳhudā
ik ghaTā-Top añdhere meñ jhukā.e hue sar
haath āñkhoñ pe rakhe
baiThī hai ġhamgīñ udaas majbūr
pahlū meñ afsurda ḳhushī ko le
saañs rukne lagā
ḳhuuñ jamne lagā
be-kalī DhūñDhtī phirtī hai panāh
reñgtā reñgtā ḳhauf aayā sisaktā huā saañp
be-kalī kaañp uThī
ḳhauf jhapaT kar uThā be-kalī naza.a meñ thī
mujh ko bachā mere ḳhudā
tīrgī kāñpī
fazā larzī
khulī kirnoñ kī raah
rūheñ jo vus.at-e-āfāq meñ āvāra sī thiiñ
DhūñDhtī phirtī thiiñ manzil apnī
phaḌphaḌā.e hue par apne uThīñ
aur havāoñ meñ baḌhīñ
sāmne jannat-e-gum-gashta nazar aatī thī
maut ka rag nafiri pe bajati aauThi
lo jhulasti hui lau
aauThi
baDhi
ret pe jaise dhuan uThta ho
sarsarahaT si daraKHton mein hui
patte murjha gae
girne lage
wo un ke khaDakne ki sada mere KHuda
lu ke hamrah baDhe
maut ke nach ka nikla tha julus
chaunk kar jag uThe sehn-e-chaman mein tair
aashiyanon se judai unhen manzur na thi
sahm kar uThe uDe uD ke wahin aan gire
un ki is aaKHiri fariyaad ki ghamnak sada mere KHuda
ek ghaTa-Top andhere mein jhukae hue sar
hath aankhon pe rakhe
baiThi hai ghamgin udas majbur
pahlu mein afsurda KHushi ko le
sans rukne laga
KHun jamne laga
be-kali DhunDhti phirti hai panah
rengta rengta KHauf aaya sisakta hua sanp
be-kali kanp uThi
KHauf jhapaT kar uTha be-kali naza mein thi
mujh ko bacha mere KHuda
tirgi kanpi
faza larzi
khuli kirnon ki rah
ruhen jo wusat-e-afaq mein aawara si thin
DhunDhti phirti thin manzil apni
phaDphaDae hue par apne uThin
aur hawaon mein baDhin
samne jannat-e-gum-gashta nazar aati thi
- Book : Jadeed Shora.e Urdu (Pg. 706)
- Author : Dr. Abdul Vaheed
- Publication : Firoz sons Printers Publishers Book sales
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.