shafaq-gun sabza
baḌī taklīf thī tahrīr ko manzil pe laane meñ
tanāv kā ajab ik jaal sā phailā thā chehre par
khiñche the abrūoñ meñ sīdhe ḳhat
peshānī par aaḌī lakīreñ thiiñ
ḳhamīda hote gaahe lab
kabhī mizhgāñ ulajh paḌtī thiiñ bāham
girā kar parda-e-chashm apnī āñkhoñ par
ġharq ho jaatī sochoñ meñ
ki afsāne meñ dīvāne kā kyā anjām likkhūñ
aur usī meñ dopahar Dhal ga.ī
nazar khiḌkī kī jānib jab uThī to
dekhā shaam aatī hai azmat se
shajar patte ajab se nuur meñ raushan haiñ
shāmil haiñ bahut se rañg jis meñ
qurmuzī kirnoñ ne
sabze ko shafaq-gūñ sā mun.akis kar ke
malākūtī fazā meñ Dhaal kar
merī nigāhoñ tak baḌī ujlat se laayā hai
maiñ us ko dekhne meñ gar na kuchh pal ḳhud ko gum kartī
to māthe ke shikan chehre pe chhāyā ye tanāv
be-sukūñ āñkheñ
sabhī mil kar mire dil ko bujhā dete
baDi taklif thi tahrir ko manzil pe lane mein
tanaw ka ajab ek jal sa phaila tha chehre par
khinche the abruon mein sidhe KHat
peshani par aaDi lakiren thin
KHamida hote gahe lab
kabhi mizhgan ulajh paDti thin baham
gira kar parda-e-chashm apni aankhon par
gharq ho jati sochon mein
ki afsane mein diwane ka kya anjam likkhun
aur usi mein dopahar Dhal gai
nazar khiDki ki jaanib jab uThi to
dekha sham aati hai azmat se
shajar patte ajab se nur mein raushan hain
shamil hain bahut se rang jis mein
qurmuzi kirnon ne
sabze ko shafaq-gun sa munakis kar ke
malakuti faza mein Dhaal kar
meri nigahon tak baDi ujlat se laya hai
main us ko dekhne mein gar na kuchh pal KHud ko gum karti
to mathe ke shikan chehre pe chhaya ye tanaw
be-sukun aankhen
sabhi mil kar mere dil ko bujha dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.