gladiator
ajiib manzar thā
shor aisā
ki
kaan andhe hue paḌe the
maiñ ḳhvāb meñ ik tamāsh-bīñ thā
maiñ dekhtā thā
vo laḌ rahe the vo ek-dūje se laḌ rahe the
ġhubār uḌtā thā un rathoñ se
jo un ke jismoñ ko rauñdne ke liye ravāñ thiiñ
maiñ dekhtā thā
vo saañs andar ko khīñchte the to khaḌkhaḌāte the
aur havāoñ ke ḳhālī dāman meñ dhoka zyāda thā saañs kam the
phir un ke zaḳhmoñ se ḳhuun ristā thā
jo tapaktī zamīñ pe girtā thā
aur chamaktā thā
sirf maiñ thā vahāñ pe maujūd lākhoñ logoñ meñ sirf maiñ thā jo
un ke zaḳhmoñ pe ro rahā thā
maiñ apne kamre meñ so rahā thā
ajiib manzar thā
ḳhvāb ke ghar se lauT aayā huuñ
ek jhaTke se aañkh kholī hai
jism ābād ho gayā hai
ab apne bistar kī silvaToñ par badan ko mahsūs karte sochā hai
maiñ bhī duniyā ke us īrīnā meñ laḌ rahā huuñ
mire badan se bhī ḳhuun hotā huā pasīna zamīn pe girtā hai
aur chamaktā hai
aaj mire liye bhī zālim havā ke dāman meñ sāñseñ kam haiñ
gladiator huuñ
aur hāthoñ meñ ye qalam hai
mire liye koī aañkh nam hai
ajib manzar tha
shor aisa
ki
kan andhe hue paDe the
main KHwab mein ek tamash-bin tha
main dekhta tha
wo laD rahe the wo ek-duje se laD rahe the
ghubar uDta tha un rathon se
jo un ke jismon ko raundne ke liye rawan thin
main dekhta tha
wo sans andar ko khinchte the to khaDkhaDate the
aur hawaon ke KHali daman mein dhoka zyaada tha sans kam the
phir un ke zaKHmon se KHun rista tha
jo tapakti zamin pe girta tha
aur chamakta tha
sirf main tha wahan pe maujud lakhon logon mein sirf main tha jo
un ke zaKHmon pe ro raha tha
main apne kamre mein so raha tha
ajib manzar tha
KHwab ke ghar se lauT aaya hun
ek jhaTke se aankh kholi hai
jism aabaad ho gaya hai
ab apne bistar ki silwaTon par badan ko mahsus karte socha hai
main bhi duniya ke us irina mein laD raha hun
mere badan se bhi KHun hota hua pasina zamin pe girta hai
aur chamakta hai
aaj mere liye bhi zalim hawa ke daman mein sansen kam hain
gladiator hun
aur hathon mein ye qalam hai
mere liye koi aankh nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.