tum ruh ke saz pe
tum ruuh ke saaz pe giit gaatī raho
maiñ tan kī ḳhair māñgtā huuñ
hameñ āzādī kī ye sadī āriyatan milī hai
us kā isrāf ehtiyāt māñgegā
tum kuchh ehtiyāt bachā rakhnā
maiñ jañgaloñ ke safar se salāmat lauT aayā
to tum se musta.ār le lūñgā ye ehtiyāt
tum apne ghar kī añgeThī meñ kaḌkaḌātī lakḌiyoñ ke ko.eloñ se
raakh banānā
aur apne lahū lage dāman meñ kuchh raakh bachā rakhnā
maiñ qāfila jañgaloñ meñ gañvā aayā huuñ
raakh gum-shuda logoñ kī ittilā.a hai
tum is ittilā.a kī hifāzat karnā
jab maiñ jañgaloñ ke safar se lauTūñ
to mujhe ḳhabar karnā
hameñ āzādī kī ye sadī āriyatan milī hai
us kā isrāf ehtiyāt māñgegā
tum kuchh ehtiyāt bachā rakhnā
ehtiyāt ba-har-taur zarūrī hai
tum ruh ke saz pe git gati raho
main tan ki KHair mangta hun
hamein aazadi ki ye sadi aariyatan mili hai
us ka israf ehtiyat mangega
tum kuchh ehtiyat bacha rakhna
main jangalon ke safar se salamat lauT aaya
to tum se mustaar le lunga ye ehtiyat
tum apne ghar ki angeThi mein kaDkaDati lakDiyon ke koelon se
rakh banana
aur apne lahu lage daman mein kuchh rakh bacha rakhna
main qafila jangalon mein ganwa aaya hun
rakh gum-shuda logon ki ittilaa hai
tum is ittilaa ki hifazat karna
jab main jangalon ke safar se lauTun
to mujhe KHabar karna
hamein aazadi ki ye sadi aariyatan mili hai
us ka israf ehtiyat mangega
tum kuchh ehtiyat bacha rakhna
ehtiyat ba-har-taur zaruri hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 147)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.