8
ai parindo kisī shaam uḌte hue
rāste meñ agar vo nazar aa.e to
giit bārish kā koī sunānā use
ai sitāro yūñhī jhilmilāte hue
us kā chehra darīche meñ aa jaa.e to
bādaloñ ko bulā kar dikhānā use
ai havā jab use niiñd aane lage
raat apne Thikāne par jaane lage
us ke chehre ko chhū kar jagānā use
ḳhvāb se jab vo bedār hone lage
phuul bāloñ meñ apne pirone lage
mere baare meñ kuchh na batānā use
ai parindo kisi sham uDte hue
raste mein agar wo nazar aae to
git barish ka koi sunana use
ai sitaro yunhi jhilmilate hue
us ka chehra dariche mein aa jae to
baadalon ko bula kar dikhana use
ai hawa jab use nind aane lage
raat apne Thikane par jaane lage
us ke chehre ko chhu kar jagana use
KHwab se jab wo bedar hone lage
phul baalon mein apne pirone lage
mere bare mein kuchh na batana use
- Book : saarii nazmen (Pg. 585)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.