jila-watan ki wapsi
zamīn kā vajūd mere intizār meñ thā
merī sadā ko
raushnī kī shanāḳht ke liye sunā gayā
jo azalī pāniyoñ se
favvāre kī tarah phail rahī thī
maiñ tez tez
ābshār kī tarah zamīn ke muñh meñ gir rahā thā
zamīn kā muñh
gulāb ke phuul kī tarah havā meñ vā ho rahā thā
pahlī baar jab maiñ āsmān se girā thā
zamīn ne merī āvāz ko mausīqī kī tarah sunā thā
zamīn ke dil meñ dard kā dariyā thā
jis meñ maiñ ne janm liyā thā
ab maiñ apne andar se us raushnī ko yaad kartā huuñ
jo mere vajūd meñ ġhair-ma.amūlī ḳhāmoshī ke saath mahfūz hai
aur apnī pahlī maujūdgī ke saath
merī āñkhoñ meñ ubhar aatī hai
lekin maiñ is āvāz ko kabhī nahīñ pā sakūñgā
jo mere ghar kā sukūn hai
maiñ har roz apne aap ko chhoḌtā huuñ
ek zaḳhmī parinde kī tarah
jo band havā maiñ āsmān kī tarah uḌtā hai
aur ek jilā-vatan kī tarah saañs letā hai
zamin ka wajud mere intizar mein tha
meri sada ko
raushni ki shanaKHt ke liye suna gaya
jo azali paniyon se
fawware ki tarah phail rahi thi
main tez tez
aabshaar ki tarah zamin ke munh mein gir raha tha
zamin ka munh
gulab ke phul ki tarah hawa mein wa ho raha tha
pahli bar jab main aasman se gira tha
zamin ne meri aawaz ko mausiqi ki tarah suna tha
zamin ke dil mein dard ka dariya tha
jis mein main ne janm liya tha
ab main apne andar se us raushni ko yaad karta hun
jo mere wajud mein ghair-mamuli KHamoshi ke sath mahfuz hai
aur apni pahli maujudgi ke sath
meri aankhon mein ubhar aati hai
lekin main is aawaz ko kabhi nahin pa sakunga
jo mere ghar ka sukun hai
main har roz apne aap ko chhoDta hun
ek zaKHmi parinde ki tarah
jo band hawa main aasman ki tarah uDta hai
aur ek jila-watan ki tarah sans leta hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 250)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.