hatak
aañkh hañsī
phir kaalī kaloTī raat hañsī
phir raat kā panchhī
phaḌ phaḌ kartā
mere uupar mañDlāyā
aur nañge mast pahāḌ ne yak dam
aañkh jhukā kar
bhārī patthar luḌhkāyā
vo patthar dūsre patthar se Takrā kar TuuTā
luḌhak gayā
phir us ke saḳht nukīle TukḌe
lākhoñ luḌhakte TukḌoñ kā sailāb bane
aur nañgā mast pahāḌ hañsā
girdāb baḌhā
aur hañsī kā halqa tañg huā
maiñ kaañp uTThā
maiñ Darne lagā
tab maiñ ne āchānak
phaile hue ākāsh kī jānib
rahm talab nazroñ se dekhā
tāroñ ne ākāsh ko chhalnī kar Daalā thā
chāñd udhaḌtī hañsī kā favvāra sā ban kar
naach rahā thā
aankh hansi
phir kali kaloTi raat hansi
phir raat ka panchhi
phaD phaD karta
mere upar manDlaya
aur nange mast pahaD ne yak dam
aankh jhuka kar
bhaari patthar luDhkaya
wo patthar dusre patthar se Takra kar TuTa
luDhak gaya
phir us ke saKHt nukile TukDe
lakhon luDhakte TukDon ka sailab bane
aur nanga mast pahaD hansa
girdab baDha
aur hansi ka halqa tang hua
main kanp uTTha
main Darne laga
tab main ne aachanak
phaile hue aakash ki jaanib
rahm talab nazron se dekha
taron ne aakash ko chhalni kar Dala tha
chand udhaDti hansi ka fawwara sa ban kar
nach raha tha
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 103)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.