aa gai sawan ki rut
aa ga.ī sāvan kī rut kaalī ghaTā chhāne lagī
phir kisī kī yaad mere dil ko taḌpāne lagī
aa ga.ī sāvan kī rut kaalī ghaTā chhāne lagī
chheḌtī hai phir ḳhushī ke raag sāvan kī bahār
muskurātī haiñ fazā.eñ har kalī par hai nikhār
phir ghane bāġhoñ meñ koyal giit bikhrāne lagī
aa ga.ī sāvan kī rut kaalī ghaTā chhāne lagī
boltā hai aah jangal meñ papīhā kyā karūñ
phir rulātī hai mujhe terī tamanna kyā karūñ
phir mohabbat dil meñ ġham kī aag bhaḌkāne lagī
aa ga.ī sāvan kī rut kaalī ghaTā chhāne lagī
tū nahīñ to ye suhānī rut mujhe bhātī nahīñ
dil dhaḌaktā hai mirā rātoñ ko niiñd aatī nahīñ
har ḳhushī ab zindagī se ruuTh kar jaane lagī
aa ga.ī sāvan kī rut kaalī ghaTā chhāne lagī
aa gai sawan ki rut kali ghaTa chhane lagi
phir kisi ki yaad mere dil ko taDpane lagi
aa gai sawan ki rut kali ghaTa chhane lagi
chheDti hai phir KHushi ke rag sawan ki bahaar
muskuraati hain fazaen har kali par hai nikhaar
phir ghane baghon mein koyal git bikhrane lagi
aa gai sawan ki rut kali ghaTa chhane lagi
bolta hai aah jangal mein papiha kya karun
phir rulati hai mujhe teri tamanna kya karun
phir mohabbat dil mein gham ki aag bhaDkane lagi
aa gai sawan ki rut kali ghaTa chhane lagi
tu nahin to ye suhani rut mujhe bhati nahin
dil dhaDakta hai mera raaton ko nind aati nahin
har KHushi ab zindagi se ruTh kar jaane lagi
aa gai sawan ki rut kali ghaTa chhane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.