Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa ja

MORE BYSahba lakhnavi

    ban kar navā-e-bulbul rangīnī-e-chaman meñ

    ban kar bahār-e-gulshan ġhunchoñ ke pairahan meñ

    ban kar hasīñ tabassum tāroñ anjuman meñ

    merī masarratoñ ke rangīn ḳhvāb aa

    duniyā-e-dil ke mālik haañ le hijāb aa

    duniyā-e-rang-o-bū meñ jān-e-bahār ban kar

    hastī ke zamzamoñ meñ sāz-e-qarār ban kar

    sahbā-e-ātishīñ rangīñ ḳhumār ban kar

    daur-e-sharāb ban kar jān-e-sharāb aa

    duniyā-e-dil ke mālik haañ be-hijāb aa

    ye sub.h bahāreñ ye shaam ke nazāre

    nasrīn-o-ġhuncha-o-gul shams-o-qamar sitāre

    be-kaif ho ga.e haiñ tere baġhair pyāre

    tārīk jān-o-dil ke ai māhtāb aa

    duniyā-e-dil ke mālik haañ be-hijāb aa

    mafqūd ho ga.ī hai qalb-o-jigar rāhat

    vāmāñda rūh-e-muztar āshufta sāz-e-fitrat

    aa ki dekh le ab bechain dil hālat

    ai sāz-e-zindagī ke tār-e-rabāb aa

    duniyā-e-dil ke mālik haañ be-hijāb aa

    aa ki phir chaḌhā leñ jām-e-shabāb-o-mastī

    aa ki phir basā leñ duniyā-e-dil bastī

    aa ki ġharq kar deñ ulfat meñ apnī hastī

    mafhūm-e-zīst aa tābīr-e-ḳhvāb aa

    duniyā-e-dil ke mālik haañ be-hijāb aa

    ban kar nawa-e-bulbul rangini-e-chaman mein

    ban kar bahaar-e-gulshan ghunchon ke pairahan mein

    ban kar hasin tabassum taron ki anjuman mein

    meri masarraton ke rangin KHwab aa ja

    duniya-e-dil ke malik han le hijab aa ja

    duniya-e-rang-o-bu mein jaan-e-bahaar ban kar

    hasti ke zamzamon mein saz-e-qarar ban kar

    sahba-e-atishin ka rangin KHumar ban kar

    daur-e-sharab ban kar jaan-e-sharab aa ja

    duniya-e-dil ke malik han be-hijab aa ja

    ye subh ki bahaaren ye sham ke nazare

    nasrin-o-ghuncha-o-gul shams-o-qamar sitare

    be-kaif ho gae hain tere baghair pyare

    tarik jaan-o-dil ke ai mahtab aa ja

    duniya-e-dil ke malik han be-hijab aa ja

    mafqud ho gai hai qalb-o-jigar ki rahat

    wamanda ruh-e-muztar aashufta saz-e-fitrat

    aa ja ki dekh le ab bechain dil ki haalat

    ai saz-e-zindagi ke tar-e-rabab aa ja

    duniya-e-dil ke malik han be-hijab aa ja

    aa ja ki phir chaDha len jam-e-shabab-o-masti

    aa ja ki phir basa len duniya-e-dil ki basti

    aa ja ki gharq kar den ulfat mein apni hasti

    mafhum-e-zist aa ja tabir-e-KHwab aa ja

    duniya-e-dil ke malik han be-hijab aa ja

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now