aa ke ho ja be-libas
din jo kahtā hai mat sun
dhuup kāñdhoñ par uThāne se bhī haT jā
Dher se ġhusse ko apnī muTThiyoñ meñ bhar ke le aa
shahr bhar ke muñh pe mal de
har taraf kālak hī kālak pot de dīvār-o-dar par
din ke sab āsār Dhā de
noch le ākāsh se jalte hue ḳhurshīd ko
dhuup kī chādar ko kar de taar taar
aur phir ghar aa ke ho jā be-libās
band ho jā ghar kī andhī koTharī meñ
band rah lambe samay tak
jab talak sūraj tire apne hī kaale ġhaar se
bāhar na jhāñke band rah
dhuup jab tak koḌh kī sūrat tire kaale badan ko
phoḌ kar bāhar na nikle band rah
jab talak ġhusse kā kaalā jhaag tujh meñ kho na jaa.e
band rah band rah lambe samay tak
ye ġhalat-fahmī ki tere band rahne se
yahāñ kuchh kam huā hai bhuul jā
bhiiḌ ke itne baḌe jañgal meñ
kab kuchh kam huā hai
din jo kahta hai mat sun
dhup kandhon par uThane se bhi haT ja
Dher se ghusse ko apni muTThiyon mein bhar ke le aa
shahr bhar ke munh pe mal de
har taraf kalak hi kalak pot de diwar-o-dar par
din ke sab aasar Dha de
noch le aakash se jalte hue KHurshid ko
dhup ki chadar ko kar de tar tar
aur phir ghar aa ke ho ja be-libas
band ho ja ghar ki andhi koThari mein
band rah lambe samay tak
jab talak suraj tere apne hi kale ghaar se
bahar na jhanke band rah
dhup jab tak koDh ki surat tere kale badan ko
phoD kar bahar na nikle band rah
jab talak ghusse ka kala jhag tujh mein kho na jae
band rah band rah lambe samay tak
ye ghalat-fahmi ki tere band rahne se
yahan kuchh kam hua hai bhul ja
bhiD ke itne baDe jangal mein
kab kuchh kam hua hai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 545)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.