aadha iman
ye aaj aḳhbār meñ ḳhabar thī
ki ik ġhalāzat-bhare gutter meñ
raqīq fuzle se banñe vaalī
ajal-ba-kaf gas kī vajah se
phir ibn-e-mariyam ke ummatī do
farā.ez-e-mansabī nibhāte
halāl nān-o-namak kamāte
aur aadhe īmān ko bachāte
yatīm bachchoñ ko kar ga.e haiñ
kisī ne un ko halāk likkhā
kisī ne likkhā vo mar ga.e haiñ
maiñ dil-girafta huuñ ġham-zada huuñ
ki kyoñ ye maz.hab-zada likhārī
farā.ez-e-mansabī nibhāte
halāl nān-o-namak kamāte
aur aadhe īmān ko bachāte
ġharīb bekas masīhiyoñ ko
shahīd likhne se Dar ga.e haiñ
kisī ne un ko halāk likkhā
kisī ne likkhā vo mar ga.e haiñ
ye aaj aKHbar mein KHabar thi
ki ek ghalazat-bhare gutter mein
raqiq fuzle se banne wali
ajal-ba-kaf gas ki wajah se
phir ibn-e-mariyam ke ummati do
faraez-e-mansabi nibhate
halal nan-o-namak kamate
aur aadhe iman ko bachate
yatim bachchon ko kar gae hain
kisi ne un ko halak likkha
kisi ne likkha wo mar gae hain
main dil-girafta hun gham-zada hun
ki kyon ye mazhab-zada likhaari
faraez-e-mansabi nibhate
halal nan-o-namak kamate
aur aadhe iman ko bachate
gharib bekas masihiyon ko
shahid likhne se Dar gae hain
kisi ne un ko halak likkha
kisi ne likkha wo mar gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.