vo merī shabīh meñ
rang bharte bharte
thak kar so ga.ī
us ke rang churā liye maiñ ne
us kī ḳhushbū churā lī maiñ ne
phir vo tasvīr
hamesha ke liye
adhūrī rah ga.ī
vo merī sāñsoñ meñ
ḳhushbū liye
niiñd oḌh kar so ga.ī
us ke ḳhvāb churā liye maiñ ne
us kī āñkheñ churā lī maiñ ne
phir vo ta.abīr
hamesha ke liye
adhūrī rah ga.ī
wo meri shabih mein
rang bharte bharte
thak kar so gai
us ke rang chura liye main ne
us ki KHushbu chura li main ne
phir wo taswir
hamesha ke liye
adhuri rah gai
wo meri sanson mein
KHushbu liye
nind oDh kar so gai
us ke KHwab chura liye main ne
us ki aankhen chura li main ne
phir wo tabir
hamesha ke liye
adhuri rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.