aadhi maut ka janm
apne adhūre vajūd ke saath
maiñ ne apnī aadhī qabr maañ kī kokh meñ banā.ī
aur aadhī baap ke dil meñ
maiñ apnī donoñ qabroñ meñ
thoḌā thoḌā jī rahā huuñ
thoḌā thoḌā mar rahā huuñ
masīhā ne apne nusḳhe meñ
merī tahlīl kī tajvīz likhī hai
baabā ne mere dobāra janm kā mashvara māñgā
aur maañ ne mere be-nām katbe ko āñsuoñ se saaf kiyā
tab
mere adhūre aur puure janm kā faisla mujh par chhoḌ diyā gayā
do qabroñ meñ bane vajūd kā taḳhmīna lagāte hue
sochtā huuñ
kyā karūñ?
marne ke liye jī uThūñ?
yā jiine ke liye multavī ho jā.uñ?
pyāre ristho!
maiñ ek taraf duāoñ ke kafan meñ lipTā paḌā huuñ
aur dūsrī taraf
mere sirhāne sūraj-mukhī kā phuul dharā hai
apne adhure wajud ke sath
main ne apni aadhi qabr man ki kokh mein banai
aur aadhi bap ke dil mein
main apni donon qabron mein
thoDa thoDa ji raha hun
thoDa thoDa mar raha hun
masiha ne apne nusKHe mein
meri tahlil ki tajwiz likhi hai
baba ne mere dobara janm ka mashwara manga
aur man ne mere be-nam katbe ko aansuon se saf kiya
tab
mere adhure aur pure janm ka faisla mujh par chhoD diya gaya
do qabron mein bane wajud ka taKHmina lagate hue
sochta hun
kya karun?
marne ke liye ji uThun?
ya jine ke liye multawi ho jaun?
pyare ristho!
main ek taraf duaon ke kafan mein lipTa paDa hun
aur dusri taraf
mere sirhane suraj-mukhi ka phul dhara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.