aadhi roTi aur puri galiyan
abdul-karīm
tumheñ niiñd kyoñ nahīñ aa rahī
tumheñ bhuuk lagī hai shāyad
tumheñ roz kyoñ bhuuk lag jaatī hai
tum gandum ugāte ho
pālte ho use apne ḳhuun se
biivī kā zevar bech kar
aur bachchoñ kī bhuuk se
kāTte ho taptī dopahroñ meñ
aur khāte ho nivāle gin gin kar
khāte ho adhūrī bhuuk aur gāliyāñ
kapās ugāte ho
aur pahante ho paivand lage kapḌe
tumheñ kyā miltā hai abdul-karīm
tumhārī mehnat chhīn le jaate haiñ
sarkārī ahlkār
seTh sultān lāñDhā
aur koī āshiq gopāñg
abdul-karīm
tum yūñhī bail kī tarah mehnat karte rahe
to tumhāre bachchoñ ko bhī yahī mīrās milegā
aadhī roTī aur puurī gāliyāñ
tumheñ is chakrvyūh se nikalnā hai
apne bachchoñ aur un ke bachchoñ kī ḳhātir
apne khāte sañbhāl kar rakhnā abdul-karīm
ek din
tumheñ hisāb lenā hai
taḌḳhe hue hāthoñ
kamar se lage peT
aur bhuuk se bilakte bachchoñ kā
abdul-karim
tumhein nind kyon nahin aa rahi
tumhein bhuk lagi hai shayad
tumhein roz kyon bhuk lag jati hai
tum gandum ugate ho
palte ho use apne KHun se
biwi ka zewar bech kar
aur bachchon ki bhuk se
kaTte ho tapti dopahron mein
aur khate ho niwale gin gin kar
khate ho adhuri bhuk aur galiyan
kapas ugate ho
aur pahante ho paiwand lage kapDe
tumhein kya milta hai abdul-karim
tumhaari mehnat chhin le jate hain
sarkari ahlkar
seTh sultan lanDha
aur koi aashiq gopang
abdul-karim
tum yunhi bail ki tarah mehnat karte rahe
to tumhaare bachchon ko bhi yahi miras milega
aadhi roTi aur puri galiyan
tumhein is chakrwyuh se nikalna hai
apne bachchon aur un ke bachchon ki KHatir
apne khate sanbhaal kar rakhna abdul-karim
ek din
tumhein hisab lena hai
taDKHe hue hathon
kamar se lage peT
aur bhuk se bilakte bachchon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.