aadmi kahta hai wo ji sakta hai
aadmī kahtā hai vo jī saktā hai
lekin aisī duniyā meñ
aadmī jiite jī kaise jī saktā hai
jiine kī ḳhātir aadmī lohā ban jaatā hai
aadmī aarā ban jaatā hai
aadmī kāTne lagtā hai
dhartī kaT jaatī hai
siine phaT jaate haiñ
aur ḳhushiyoñ ke ḳhusiye kuchle jaate haiñ
aadmī kahtā hai vo jī saktā hai
hañsī kā hathiyār liye
aadmī dukh kī jhāḌī kāTtā rahtā hai
kāTte kāTte aadmī kaT jaatā hai
kaTe hue jismoñ meñ lāsheñ zinda rahtī haiñ
lāshoñ ke mulk meñ chalte chalte
Dare hue aadmī Dare hue aadmī se Dar jaate haiñ
mare hue aadmī mare hue aadmī ko maar dete haiñ
aadmi kahta hai wo ji sakta hai
lekin aisi duniya mein
aadmi jite ji kaise ji sakta hai
jine ki KHatir aadmi loha ban jata hai
aadmi aara ban jata hai
aadmi kaTne lagta hai
dharti kaT jati hai
sine phaT jate hain
aur KHushiyon ke KHusiye kuchle jate hain
aadmi kahta hai wo ji sakta hai
hansi ka hathiyar liye
aadmi dukh ki jhaDi kaTta rahta hai
kaTte kaTte aadmi kaT jata hai
kaTe hue jismon mein lashen zinda rahti hain
lashon ke mulk mein chalte chalte
Dare hue aadmi Dare hue aadmi se Dar jate hain
mare hue aadmi mare hue aadmi ko mar dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.