aaftab aafat hai aab ke liye
āftāb aafat hai aab ke liye lekin
mere dil ke chashmoñ meñ āftāb khilte haiñ
mere dil ke chashme jo āsmāñ ke peḌoñ meñ
saaya saaya bahte haiñ
dhuup in ke paanī meñ ḳhvāb kī tarah uryāñ
parbatoñ kī jholī meñ baiTh kar nahātī hai
apne phuul se paañv pāniyoñ meñ dhotī hai
arsh kī nigāhoñ meñ ye magar ḳharābī hai
āsmān vāloñ ne dil ke husn-e-uryāñ ko
vo libās baḳhshā hai jis ke saḳht pardoñ meñ
dhuup bhī hijābī hai!!
aaftab aafat hai aab ke liye lekin
mere dil ke chashmon mein aaftab khilte hain
mere dil ke chashme jo aasman ke peDon mein
saya saya bahte hain
dhup in ke pani mein KHwab ki tarah uryan
parbaton ki jholi mein baiTh kar nahati hai
apne phul se panw paniyon mein dhoti hai
arsh ki nigahon mein ye magar KHarabi hai
aasman walon ne dil ke husn-e-uryan ko
wo libas baKHsha hai jis ke saKHt pardon mein
dhup bhi hijabi hai!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.