aaghaz-e-bahaar ka pahla din
masā.ib uljhaneñ be-tābiyāñ be-ḳhvābiyāñ likkhūñ
magar khetoñ kī shādābī
guloñ kī raunaqeñ kaliyoñ kā dhīmā husn raushan phuul angāre
falak par jagmagāte māh-o-anjum kā sajīlā-pan
sabā kī shoḳhiyāñ narmī havā kī gul kā pairāhan
jo manzar mujh se bāhar haiñ
kabhī lagtā hai shāyad mujh se behtar haiñ
kabhī lagtā hai mujh ko
ki vo be-tābiyāñ be-ḳhvābiyāñ jo mere andar haiñ
unheñ kaliyoñ kā dhīmā-pan sajāvaT māh-o-anjum kī achānak mil ga.ī jaise
sabā kī shoḳhiyoñ se gudgudāne vaale din aa.e
havā kā narm jhoñkā jo abhī āñchal se uljhā thā koī paiġhām laayā hai
guloñ kī raunaqeñ kaliyoñ kā dhīmā husn raushan phuul angāre
falak par jagmagāte māh-o-anjum kā sajīlā-pan
sabā kī shoḳhiyāñ narmī havā kī gul kā pairahan
ye manzar mere andar yuuñ utarte jā rahe haiñ
sabā kī shoḳhiyoñ se gudgudāne vaale din aa.e nahīñ to
aa rahe haiñ
masaib uljhanen be-tabiyan be-KHwabiyan likkhun
magar kheton ki shadabi
gulon ki raunaqen kaliyon ka dhima husn raushan phul angare
falak par jagmagate mah-o-anjum ka sajila-pan
saba ki shoKHiyan narmi hawa ki gul ka pairahan
jo manzar mujh se bahar hain
kabhi lagta hai shayad mujh se behtar hain
kabhi lagta hai mujh ko
ki wo be-tabiyan be-KHwabiyan jo mere andar hain
unhen kaliyon ka dhima-pan sajawaT mah-o-anjum ki achanak mil gai jaise
saba ki shoKHiyon se gudgudane wale din aae
hawa ka narm jhonka jo abhi aanchal se uljha tha koi paigham laya hai
gulon ki raunaqen kaliyon ka dhima husn raushan phul angare
falak par jagmagate mah-o-anjum ka sajila-pan
saba ki shoKHiyan narmi hawa ki gul ka pairahan
ye manzar mere andar yun utarte ja rahe hain
saba ki shoKHiyon se gudgudane wale din aae nahin to
aa rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.