aaghaz se anjam tak
in dinoñ merī zindagī
ek vīrāna thī
jis meñ tum ne pyaar ke be-shumār gul khilā.e the
rafta rafta ye vīrāna
gulshan ban kar mahakne lagā
har taraf shagufta tamannāoñ ke phuul bikhre the
kitnā nāzāñ thā maiñ apne nasīb par ki
merī rāhoñ meñ tamannāoñ ke phuul haiñ mahaktī kaliyāñ haiñ
dāman meñ sauġhāt hai tumhāre pyaar kī
magar aaj ma.alūm huā ummīd kā anjām
phuul khil kar pazhmurda zarūr hote haiñ
aur ab in dinoñ bhī
merī zindagī ek vīrāna hai
yās-o-hasrat kā mausam bikhrā paḌā hai
tamannāoñ ke lāshe bikhre hue haiñ
merā dāman āñsūoñ se pur hai
mere jazbe lahūluhān haiñ
āġhāz se le kar anjām tak
merā tasavvur
dhuāñ dhuāñ hai
in dinon meri zindagi
ek virana thi
jis mein tum ne pyar ke be-shumar gul khilae the
rafta rafta ye virana
gulshan ban kar mahakne laga
har taraf shagufta tamannaon ke phul bikhre the
kitna nazan tha main apne nasib par ki
meri rahon mein tamannaon ke phul hain mahakti kaliyan hain
daman mein saughat hai tumhaare pyar ki
magar aaj malum hua ummid ka anjam
phul khil kar pazhmurda zarur hote hain
aur ab in dinon bhi
meri zindagi ek virana hai
yas-o-hasrat ka mausam bikhra paDa hai
tamannaon ke lashe bikhre hue hain
mera daman aansuon se pur hai
mere jazbe lahuluhan hain
aaghaz se le kar anjam tak
mera tasawwur
dhuan dhuan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.