aagahi ka jal
mire apne hurūf kā jaal
mirī ruuh par tañg hotā jā rahā hai
aur ab to mirī ruuh kī haDDiyāñ
chaTaḳh rahī haiñ
aur sarāb-e-āgahī ke sāmne
sar paTaḳh rahī haiñ
''sukūt'' ke hurūf
jinhoñ ne merī samā.atoñ se
shor kā lahū nichoḌ liyā hai
ye ''raushnī'' ke hurūf
ki jinhoñ ne mirī aañkh ke
kāñch ke diyoñ meñ rakhā huā
tel pī liyā hai
ye ''zā.iqe'' ke hurūf
jinhoñ ne mirī zabān ko
laboñ ke darmiyān maar kar
dafn kar diyā hai
aur ye iztirāb
jis ne mere pair kī ragoñ kī jagah
safar kī ḳhvāhishoñ se banī sutliyāñ khīñch dī haiñ
aur ye āgahī
jis ne mirī ruuh kī bachī khuchī
haDDiyāñ bhī sameT dī haiñ
mere apne huruf ka jal
meri ruh par tang hota ja raha hai
aur ab to meri ruh ki haDDiyan
chaTaKH rahi hain
aur sarab-e-agahi ke samne
sar paTaKH rahi hain
sukut ke huruf
jinhon ne meri samaaton se
shor ka lahu nichoD liya hai
ye raushni ke huruf
ki jinhon ne meri aankh ke
kanch ke diyon mein rakha hua
tel pi liya hai
ye zaiqe ke huruf
jinhon ne meri zaban ko
labon ke darmiyan mar kar
dafn kar diya hai
aur ye iztirab
jis ne mere pair ki ragon ki jagah
safar ki KHwahishon se bani sutliyan khinch di hain
aur ye aagahi
jis ne meri ruh ki bachi khuchi
haDDiyan bhi sameT di hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.