aagahi ka qatra qatra zahr
Interesting Fact
(Seep, Karachi. Vol.26, May-June 1973)
mujhe batāo ki maiñ kahāñ huuñ
mujhe samjhāo maiñ kaun huuñ kyā huuñ aur kyuuñ huuñ
maiñ be-basar be-ḳhabar
safar kī be-rahm sā.atoñ kā asiir
in rāstoñ kā raahī
ki jin kā har sang-e-mīl be-chehra be-nishāñ hai
ḳhizāñ-zada barg-e-ḳhushk
andhī havā ke pur-shor be-samā.at bipharte rele
kī rahguzar par
maiñ an-ginat be-shumār sāloñ se
nā-rasā.ī ke karb se dil-e-shikasta aur pā-figār raahī
ki jis kī har sa.ī-e-be-samar ne
ki jis kī har kāvish-e-safar ne
kuchh aur manzil ke fāsloñ ko baḌhā diyā hai
misāl mere safar kī tamsīl-e-āl-e-mūsā
ki apne dasht-e-amal meñ apnī siyāh-baḳhtī kā haath pakḌe
ravāñ-davāñ huuñ ka.ī zamānoñ se
aur jab bhī Thahar ke kuchh dekhtā huuñ apne safar kā hāsil
to koī manzil na rāh-e-manzil
chalā thā maiñ jis jagah se ab bhī vahāñ khaḌā huuñ
mujhe batāo ki maiñ kahāñ huuñ
mujhe sujhāo maiñ kaun huuñ kyā huuñ aur kyuuñ huuñ
mire badan par na merā chehra
na mere muñh meñ zabān merī
na merī āñkheñ na kaan mere
maiñ ajnabī jism ke havāle se apnī pahchān kā huuñ aadī
na soch merī na zehn merā
na fikr merī na mujh ko apnā shu.ūr-e-zātī
mire tashaḳhḳhus ke vāste mere muhsin-o-chāra-sāz laate
rahe haiñ barsoñ
hasīñ hasīñ ḳhush-libās surK-o-safed chehre
koī musir hai safed chehra mire badan par bahār degā
kisī ko isrār surḳh-chehra bahut sajegā
hasīñ hasīñ ḳhush-libās chehroñ kī yūrish-e-be-panah ke hāthoñ
maiñ apnā chehra bhulā chukā huuñ
maiñ apnī pahchān kho chukā huuñ
mujhe dikhāo to merā chehra
ki maiñ bhī jānūñ
ki maiñ bhī samjhūñ
maiñ kaisā lagtā huuñ aa.ine meñ
ki merī pahchān mustaqil ho
maiñ apne hī jism ke havāle se apnī pahchān to karā.ūñ
maiñ kaun huuñ kyā huuñ aur kyuuñ huuñ
savāl avval savāl āḳhir
mirī har ik samt aaj likkhā huā hai harf-e-savāl dekho
savāl jo soch kī kiran hai
savāl jo āgahī kā ziina hai ḳhud-shanāsī kā ik chalan hai
mujhe batāo
javāb kitnā hī talḳh ho us ko maiñ sunūñgā
mujhe pilāo
maiñ qatra qatra ye zahr-e-ḳhud-āgahī piyūñgā
ki is tarah vo jo maiñ nahīñ huuñ
ye zahr pī kar miTe to shāyad maiñ dekh pā.ūñ
use jo maiñ huuñ
mujhe batao ki main kahan hun
mujhe samjhao main kaun hun kya hun aur kyun hun
main be-basar be-KHabar
safar ki be-rahm saaton ka asir
in raston ka rahi
ki jin ka har sang-e-mil be-chehra be-nishan hai
KHizan-zada barg-e-KHushk
andhi hawa ke pur-shor be-samaat bipharte rele
ki rahguzar par
main an-ginat be-shumar salon se
na-rasai ke karb se dil-e-shikasta aur pa-figar rahi
ki jis ki har sai-e-be-samar ne
ki jis ki har kawish-e-safar ne
kuchh aur manzil ke faslon ko baDha diya hai
misal mere safar ki tamsil-e-al-e-musa
ki apne dasht-e-amal mein apni siyah-baKHti ka hath pakDe
rawan-dawan hun kai zamanon se
aur jab bhi Thahar ke kuchh dekhta hun apne safar ka hasil
to koi manzil na rah-e-manzil
chala tha main jis jagah se ab bhi wahan khaDa hun
mujhe batao ki main kahan hun
mujhe sujhao main kaun hun kya hun aur kyun hun
mere badan par na mera chehra
na mere munh mein zaban meri
na meri aankhen na kan mere
main ajnabi jism ke hawale se apni pahchan ka hun aadi
na soch meri na zehn mera
na fikr meri na mujh ko apna shuur-e-zati
mere tashaKHKHus ke waste mere muhsin-o-chaara-saz late
rahe hain barson
hasin hasin KHush-libas surK-o-safed chehre
koi musir hai safed chehra mere badan par bahaar dega
kisi ko israr surKH-chehra bahut sajega
hasin hasin KHush-libas chehron ki yurish-e-be-panah ke hathon
main apna chehra bhula chuka hun
main apni pahchan kho chuka hun
mujhe dikhao to mera chehra
ki main bhi jaanun
ki main bhi samjhun
main kaisa lagta hun aaine mein
ki meri pahchan mustaqil ho
main apne hi jism ke hawale se apni pahchan to karaun
main kaun hun kya hun aur kyun hun
sawal awwal sawal aaKHir
meri har ek samt aaj likkha hua hai harf-e-sawal dekho
sawal jo soch ki kiran hai
sawal jo aagahi ka zina hai KHud-shanasi ka ek chalan hai
mujhe batao
jawab kitna hi talKH ho us ko main sununga
mujhe pilao
main qatra qatra ye zahr-e-KHud-agahi piyunga
ki is tarah wo jo main nahin hun
ye zahr pi kar miTe to shayad main dekh paun
use jo main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.