aah-e-na-tamam
shām-e-ġham uf zindagī thī merī ghabrā.ī huī
merī hastī par fazā-e-yās thī chhā.ī huī
baḌh rahī thī ek bechainī dil-e-nāshād meñ
bah rahe the ashk āñkhoñ se kisī kī yaad meñ
yaad aatā thā koī rah rah ke mujh ko bār-bār
ho rahe the jis se ruḳhsat hijr meñ sabr-o-qarār
merī hālat koī us dam dekhne vaalā na thā
charḳh par bikhre hue afsurda tāroñ ke sivā
yaad aatā jā rahā thā mujh ko koī zar-nigār
jis pe hotī hai tasadduq sehn-e-gulshan kī bahār
lamha lamha maiñ liye jaatā thā us ke naam ko
jis se hotī thī tasallī is dil-e-nākām ko
kyā kahūñ 'shāhid' kisī se thī ye aisī ġham kī shaam
dil meñ soz-e-nā-mukammal lab pe āh-e-nā-tamām
sham-e-gham uf zindagi thi meri ghabrai hui
meri hasti par faza-e-yas thi chhai hui
baDh rahi thi ek bechaini dil-e-nashad mein
bah rahe the ashk aankhon se kisi ki yaad mein
yaad aata tha koi rah rah ke mujh ko bar-bar
ho rahe the jis se ruKHsat hijr mein sabr-o-qarar
meri haalat koi us dam dekhne wala na tha
charKH par bikhre hue afsurda taron ke siwa
yaad aata ja raha tha mujh ko koi zar-nigar
jis pe hoti hai tasadduq sehn-e-gulshan ki bahaar
lamha lamha main liye jata tha us ke nam ko
jis se hoti thi tasalli is dil-e-nakaam ko
kya kahun 'shahid' kisi se thi ye aisi gham ki sham
dil mein soz-e-na-mukammal lab pe aah-e-na-tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.