aaine nazar ke gard hue
Interesting Fact
(30 December 1979)
jab dard ke naate TuuT ga.e
jab manzar manzar phaile hue
an-dekhe lambe hāthoñ ne
sab ahd purāne luuT liye
maazī ke ḳhazāne luuT liye
sab ishq ke da.ave ruuTh ga.e
jaañ guñg huī dil chhūT ga.e
har zaḳhm-e-tamannā raakh huā
jo sho.ala-e-jāñ tharrātā huā
shaffāf añdherī rātoñ meñ
raqsāñ thā falak ke ziine par
thak-hār ke āḳhir baiTh rahā
maTiyāle behis retīle in rastoñ par
vo raste
jin par rishtoñ ke
raushan chehre rū-posh hue
vo jin ke shor-sharābe meñ
man kī āvāz Duub ga.iiñ
dil ke hañgāme sard hue
ā.īne nazar ke gard hue
vo raste bhī kyā raste the
har chār-taraf
ik dhuñd kī ḳhākī chādar thī
aur us ke aage hadd-e-nazar tak
phailī huī
be-jāñ lafzoñ
be-mehr yugoñ kī
daldal thī
vo shola-e-raqsāñ hairāñ thā
vo dīda-e-hairāñ giryāñ thā
vo zehn-e-pareshāñ larzāñ thā
ik dil kā nagar so vīrāñ thā
ik raahī thā jo un be-mehr fazāoñ meñ
shauq-e-parvāz se
ḳhū-e-safar kī betābī se hirāsāñ thā
kuchh chāñd kī maddham kirneñ thiiñ
jo dard ke saare rāzoñ se
vāqif thiiñ magar
in maTiyāle behis gadle
rastoñ se
vo bhī gurezāñ thiiñ
jab dard ke nate TuT gae
jab manzar manzar phaile hue
an-dekhe lambe hathon ne
sab ahd purane luT liye
mazi ke KHazane luT liye
sab ishq ke dawe ruTh gae
jaan gung hui dil chhuT gae
har zaKHm-e-tamanna rakh hua
jo shoala-e-jaan tharraata hua
shaffaf andheri raaton mein
raqsan tha falak ke zine par
thak-haar ke aaKHir baiTh raha
maTiyale behis retile in raston par
wo raste
jin par rishton ke
raushan chehre ru-posh hue
wo jin ke shor-sharabe mein
man ki aawaz Dub gain
dil ke hangame sard hue
aaine nazar ke gard hue
wo raste bhi kya raste the
har chaar-taraf
ek dhund ki KHaki chadar thi
aur us ke aage hadd-e-nazar tak
phaili hui
be-jaan lafzon
be-mehr yugon ki
daldal thi
wo shola-e-raqsan hairan tha
wo dida-e-hairan giryan tha
wo zehn-e-pareshan larzan tha
ek dil ka nagar so viran tha
ek rahi tha jo un be-mehr fazaon mein
shauq-e-parwaz se
KHu-e-safar ki betabi se hirasan tha
kuchh chand ki maddham kirnen thin
jo dard ke sare raazon se
waqif thin magar
in maTiyale behis gadle
raston se
wo bhi gurezan thin
- Book : Aatish Zeer-e-paa (Pg. 34)
- Author : Sajidah Zaidi
- Publication : Sajidah Zaidi, Aligarah (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.