aaj
aaj ke din to yuuñ lagtā hai
jaise lamha lamha
terī āñkhoñ se jhilmil jhilmil jhāñktā ho
Tapak Tapak ke qatra qatra
tere mere ḳhvāb kī
dhun buntā ho
aaj ke din to har ik lamha
rag rag dīpak aag lagātā Dhaltā ghaTtā jaatā hai
bahte bahte samay kā dhārā
bahtā jaatā hai
ek bhañvar hai
ik Thahrāv
jin ke beach meñ aaj ke din kā har ik lamha
biit rahā hai
jaise jaatī umreñ Dhaltī shāmoñ meñ
aaj kā din
aur aaj ke din kā har ik lamha
jaise purvā
jaise barkhā
jaise ḳhushbū ḳhvāb ḳhayāl
jaise sāvan sāñjh saverā
jaise megh malhār
aaj kā din aur aaj ke din kā
har ik lamha
jaise taal dhamāl
aaj ke din to yun lagta hai
jaise lamha lamha
teri aankhon se jhilmil jhilmil jhankta ho
Tapak Tapak ke qatra qatra
tere mere KHwab ki
dhun bunta ho
aaj ke din to har ek lamha
rag rag dipak aag lagata Dhalta ghaTta jata hai
bahte bahte samay ka dhaara
bahta jata hai
ek bhanwar hai
ek Thahraw
jin ke beach mein aaj ke din ka har ek lamha
bit raha hai
jaise jati umren Dhalti shamon mein
aaj ka din
aur aaj ke din ka har ek lamha
jaise purwa
jaise barkha
jaise KHushbu KHwab KHayal
jaise sawan sanjh sawera
jaise megh malhaar
aaj ka din aur aaj ke din ka
har ek lamha
jaise tal dhamal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.