aaj insan kahan hai
maiñ huuñ jis kā shā.er
vo insān kahāñ hai
saarī duniyā jise māntī rahī hai
vo bhagvān kahāñ hai
hasīn chehre
phuul aur kaliyāñ
jhūmtī shāḳheñ
daraḳht āshiyāñ
hariyālī
nahreñ dariyā sāgar
ūñche ūñche kohsāroñ kī bulandiyāñ
nāchne vaale
hazār-hā rañgīn parinde
shaam o sahar ko phūlne vaalī shafaq
barkhā-rut kī sat-rañgī dhanak
sūraj chāñd sitāre
rātoñ ko jhilmilātī kahkashāñ
jin ke dekhe se
bahal jaa.eñ dil
sukh paa.eñ parān
ab vo dil vo sukh un parānoñ kā
nām-o-nishāñ kahāñ hai
meñ huuñ jis kā shā.er
vo insān kahāñ hai
saarī duniyā jise māntī rahī hai
vo bhagvān kahāñ hai
be-hisāb sadiyoñ kī āñkheñ
ek pal meñ
an-ginat baar jhapaktī palkeñ
nazar na aane vaalī nazreñ
chhātī se bachchoñ ko lipTā.e hue mātā.eñ
khanak-dār chūḌiyoñ bharī kalā.iyāñ
jin par duudh pilātī mātāoñ kī
jhukī huī sharmīlī āñkheñ
āñchaloñ meñ chhupe hue nanhe nanhe bālak
chorī chorī mātāoñ kā chehra tākeñ
javāniyoñ ke nainoñ se priit ke chalte baan
aaj us pyaar bhare
javān jiyoñ kā armān kahāñ hai
maiñ huuñ jis kā shā.er
vo insān kahāñ hai
vo insān kahāñ hai
aaj vo apnī dhartī apne jīvan kī barbādī kī
tayyārī meñ
veyast hai masrūf hai gum hai
bachchoñ ke komal badan ke TukḌe
hathiyāroñ ke vidhān kī jhāḌiyoñ jañgaloñ meñ
lā-vāris lāsheñ
jin ko
murdār-ḳhor peT bhare jānvar
khaa.e binā hī guzar jaa.eñ
phir khā.īñ kyūñkar
koī batā.e
kitnī ibādat-gāheñ
mandir
masjid
girjā ghar aur gurudvāre
kitnī jaldī Dhaa.e jā sakte haiñ
yā in sab ko halākatoñ ke saaz aur aslahoñ kā
godām banā denā behtar hai
be-gunāhoñ kā lahū zamīn meñ jazb nahīñ ho saktā
shāyad kabhī nahīñ
koī batā.e
kab ye zamīñ dobāra shola-zār banegī
kyā koī nahīñ hai
koī nahīñ?
jo apnī zamīn ko zindagī kī jannat banā sake
ik insānī tāqat
himmat ik azm ke saath
des des mulkoñ mulkoñ
maiñ insān ko lalkāroñgā
lekin maiñ huuñ jis kā shā.er
vo insān kahāñ hai
saarī duniyā jise māntī rahī hai vo bhagvān kahāñ hai?
main hun jis ka shaer
wo insan kahan hai
sari duniya jise manti rahi hai
wo bhagwan kahan hai
hasin chehre
phul aur kaliyan
jhumti shaKHen
daraKHt aashiyan
hariyali
nahren dariya sagar
unche unche kohsaron ki bulandiyan
nachne wale
hazar-ha rangin parinde
sham o sahar ko phulne wali shafaq
barkha-rut ki sat-rangi dhanak
suraj chand sitare
raaton ko jhilmilati kahkashan
jin ke dekhe se
bahal jaen dil
sukh paen paran
ab wo dil wo sukh un paranon ka
nam-o-nishan kahan hai
mein hun jis ka shaer
wo insan kahan hai
sari duniya jise manti rahi hai
wo bhagwan kahan hai
be-hisab sadiyon ki aankhen
ek pal mein
an-ginat bar jhapakti palken
nazar na aane wali nazren
chhati se bachchon ko lipTae hue mataen
khanak-dar chuDiyon bhari kalaiyan
jin par dudh pilati mataon ki
jhuki hui sharmili aankhen
aanchalon mein chhupe hue nanhe nanhe baalak
chori chori mataon ka chehra taken
jawaniyon ke nainon se prit ke chalte ban
aaj us pyar bhare
jawan jiyon ka arman kahan hai
main hun jis ka shaer
wo insan kahan hai
wo insan kahan hai
aaj wo apni dharti apne jiwan ki barbaadi ki
tayyari mein
weyast hai masruf hai gum hai
bachchon ke komal badan ke TukDe
hathiyaron ke widhan ki jhaDiyon jangalon mein
la-waris lashen
jin ko
murdar-KHor peT bhare jaanwar
khae bina hi guzar jaen
phir khain kyunkar
koi batae
kitni ibaadat-gahen
mandir
masjid
girja ghar aur gurudware
kitni jaldi Dhae ja sakte hain
ya in sab ko halakaton ke saz aur aslahon ka
godam bana dena behtar hai
be-gunahon ka lahu zamin mein jazb nahin ho sakta
shayad kabhi nahin
koi batae
kab ye zamin dobara shola-zar banegi
kya koi nahin hai
koi nahin?
jo apni zamin ko zindagi ki jannat bana sake
ek insani taqat
himmat ek azm ke sath
des des mulkon mulkon
main insan ko lalkaronga
lekin main hun jis ka shaer
wo insan kahan hai
sari duniya jise manti rahi hai wo bhagwan kahan hai?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.