aaj lagta hai samundar mein hai tughyani si
aaj lagtā hai samundar meñ hai tuġhyānī sī
jaane kis dahr se aayā hai ye tūfān-e-balā
ye jo tūfān ki is meñ haiñ khañDar ḳhvāboñ ke
TūTte ḳhvāb haiñ dhundlī sī guzargāhoñ ke
an-kahī koī kahānī koī jaltā aañsū
aa ke dāman pe Thahartā huā be-kal shikva
chup sī sādhī hai mire but ne
magar āñkhoñ meñ
mere har tāj-mahal kī hai haqīqat vāzeh
jis meñ rahtī hai vo shahzādī jise qudarat ne
dil dhaḌaktā huā baḳhshā hai badan patthar kā
maiñ ne dekhā hai ki vo raat ke añdhiyāroñ meñ
apne TuuTe hue par ḳhud hī jilā detī hai
apne ashkoñ ke diye ḳhud hī bujhā detī hai
ḳhud hī apne liye likhtī hai sazāoñ kī kitāb
apne hāthoñ se chhupā detī hai zaḳhmoñ ke gulāb
aaj lagtā hai samundar meñ hai tuġhyānī sī
aaj larzish sī hai pairoñ meñ thakan sāñsoñ meñ
kirchiyāñ chubhne lagī haiñ jo mirī āñkhoñ meñ
aaj lāzim hai ki chup-chāp guzar jaa.e shaam
koī aahaT ho na dastak na hī chhilke koī jaam
aaj ā.īne se katrā ke guzar jaanā hai
aaj shab ghor-añdhere meñ utar jaanā hai
phir nayā din na.ī muskān jagā lā.egā
shab kā tūfān kināroñ se utar jā.egā
aaj lagtā hai samundar meñ hai tuġhyānī sī
aaj lagta hai samundar mein hai tughyani si
jaane kis dahr se aaya hai ye tufan-e-bala
ye jo tufan ki is mein hain khanDar KHwabon ke
TuTte KHwab hain dhundli si guzargahon ke
an-kahi koi kahani koi jalta aansu
aa ke daman pe Thaharta hua be-kal shikwa
chup si sadhi hai mere but ne
magar aankhon mein
mere har taj-mahal ki hai haqiqat wazeh
jis mein rahti hai wo shahzadi jise qudarat ne
dil dhaDakta hua baKHsha hai badan patthar ka
main ne dekha hai ki wo raat ke andhiyaron mein
apne TuTe hue par KHud hi jila deti hai
apne ashkon ke diye KHud hi bujha deti hai
KHud hi apne liye likhti hai sazaon ki kitab
apne hathon se chhupa deti hai zaKHmon ke gulab
aaj lagta hai samundar mein hai tughyani si
aaj larzish si hai pairon mein thakan sanson mein
kirchiyan chubhne lagi hain jo meri aankhon mein
aaj lazim hai ki chup-chap guzar jae sham
koi aahaT ho na dastak na hi chhilke koi jam
aaj aaine se katra ke guzar jaana hai
aaj shab ghor-andhere mein utar jaana hai
phir naya din nai muskan jaga laega
shab ka tufan kinaron se utar jaega
aaj lagta hai samundar mein hai tughyani si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.