aaj tera KHat jo mila
maiñ bahut duur thā tanhā thā
mere dil kī tasallī ke liye
ham-navā mere
mujhe aaj terā ḳhat jo milā
dard-bharī baat milī
jazba-e-iḳhlās milā
mere mahbūb
vafāoñ kā jahāñ-tāb-o-karam
terī ma.asūm mohabbat ke taqāzoñ meñ rahe
dil ke naġhmoñ pe rahe pyaar ke gītoñ pe rahe
hai ḳhushī mujh ko
mujhe husn-e-vafādār milā
ai sabā jhuum ke chal
tujh ko chaman-zār milā
hai ye āġhāz-e-safar
hai ye tamhīd-e-vafā
duur hai takmīl is kī
raah dushvār hai mohtāt chaleñ
hādse aa.eñ bhī to azmat-e-ulfat ke liye
bārhā gir ke bhī ham uTh ke chaleñ
taaki hālāt ke aage hameñ jhuknā na paḌe
kisī armān ko siine meñ sisaknā na paḌe
dil meñ jo pyaar ke jazbāt haiñ
ābād raheñ
mere is ḳhat ke ye alfāz tujhe yaad raheñ
main bahut dur tha tanha tha
mere dil ki tasalli ke liye
ham-nawa mere
mujhe aaj tera KHat jo mila
dard-bhari baat mili
jazba-e-iKHlas mila
mere mahbub
wafaon ka jahan-tab-o-karam
teri masum mohabbat ke taqazon mein rahe
dil ke naghmon pe rahe pyar ke giton pe rahe
hai KHushi mujh ko
mujhe husn-e-wafadar mila
ai saba jhum ke chal
tujh ko chaman-zar mila
hai ye aaghaz-e-safar
hai ye tamhid-e-wafa
dur hai takmil is ki
rah dushwar hai mohtat chalen
hadse aaen bhi to azmat-e-ulfat ke liye
barha gir ke bhi hum uTh ke chalen
taki haalat ke aage hamein jhukna na paDe
kisi arman ko sine mein sisakna na paDe
dil mein jo pyar ke jazbaat hain
aabaad rahen
mere is KHat ke ye alfaz tujhe yaad rahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.