aaj TuTa hai bharosa mera
dard jis se mirā ik rishta-e-derīna hai
vaqt kī raah kā
pur-pech safar tai kar ke
mujh se tajdīd-e-rifāqat ke liye
baa'd muddat ke mire paas chalā aayā hai
aaj phir kaifiyat-e-jāñ hai vahī
aaj phir siine meñ sūraj koī gahnāyā hai
din Dhale kitne hī auhām ke kaale bādal
phir mire zehn ke ākāsh par mañDlā.e haiñ
dard kī phir na.ī sauġhāt koī laa.e haiñ
yuuñ to pahle bhī mire vāste kab
kaun sī raat thī jab dard kī sauġhāt na thī
yaad
taḳh.īl kī pechīda surangoñ se guzar kar har shab
yūñhī haule se
dabe paañv chalī aatī thī
aur so.e hue zaḳhmoñ ko jagā kar mere
merī hastī ke dar-o-bām hilā jaatī thī
aaj phir dard kā tūfān hai shab hai maiñ huuñ
aur maiñ ḳhud ko añdheroñ meñ ghirā paatā huuñ
maiñ ki apne ko sameTūñ jitnā
aaj kī shab hai ki bikhrā hī chalā jaatā huuñ
ek muddat huī TuuTā thā mirā dil so koī baat na thī
aaj TuuTā hai bharosa merā
dard jis se mera ek rishta-e-derina hai
waqt ki rah ka
pur-pech safar tai kar ke
mujh se tajdid-e-rifaqat ke liye
ba'd muddat ke mere pas chala aaya hai
aaj phir kaifiyat-e-jaan hai wahi
aaj phir sine mein suraj koi gahnaya hai
din Dhale kitne hi auham ke kale baadal
phir mere zehn ke aakash par manDlae hain
dard ki phir nai saughat koi lae hain
yun to pahle bhi mere waste kab
kaun si raat thi jab dard ki saughat na thi
yaad
taKHil ki pechida surangon se guzar kar har shab
yunhi haule se
dabe panw chali aati thi
aur soe hue zaKHmon ko jaga kar mere
meri hasti ke dar-o-baam hila jati thi
aaj phir dard ka tufan hai shab hai main hun
aur main KHud ko andheron mein ghira pata hun
main ki apne ko sameTun jitna
aaj ki shab hai ki bikhra hi chala jata hun
ek muddat hui TuTa tha mera dil so koi baat na thi
aaj TuTa hai bharosa mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.