Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaKHir kaun hain ye log

Manzar Latif

aaKHir kaun hain ye log

Manzar Latif

MORE BYManzar Latif

    hamārī soch kaale dā.eroñ meñ ulajh chukī hai

    ham nahīñ jānte ki vo hamāre ās-pās haiñ

    jinhoñ ne parindoñ ke giit gaane par

    pābandī lagā

    ye vahī log haiñ jinhoñ ne canvas par

    chābī banāne vāloñ ke haath kaTvā diye

    ye vahī log haiñ inhī logoñ ne

    samundarī machhliyoñ ko bandī banāyā

    aur jugnūoñ se un izzateñ pāmāl karvā.ī

    inhī logoñ ne titliyoñ ke rang churā liye

    aur kā.enāt ko be-rang kar diyā

    yahī vo log haiñ jinhoñ ne gaalī ko

    aaj qaumī tarāna banāyā

    inhī logoñ ne ḳhudā hone da.avā kiyā

    yahī vo qātil haiñ jinhoñ ne

    har rangīn ḳhayāl qatl kiyā aur use

    shahādat jaise aziim e.azāz se navāzā

    yahī haiñ vo jinhoñ ne hamārī sochoñ ko uljhā kar hamārī lāshoñ tijārat

    āḳhir kaun haiñ ye log

    hamari soch kale daeron mein ulajh chuki hai

    hum nahin jaante ki wo hamare aas-pas hi hain

    jinhon ne parindon ke git gane par

    pabandi laga di

    ye wahi log hain jinhon ne canwas par

    chabi banane walon ke hath kaTwa diye

    ye wahi log hain inhi logon ne

    samundari machhliyon ko bandi banaya

    aur jugnuon se un ki izzaten pamal karwai

    inhi logon ne titliyon ke rang chura liye

    aur kaenat ko be-rang kar diya

    yahi wo log hain jinhon ne gali ko

    aaj ka qaumi tarana banaya

    inhi logon ne KHuda hone ka dawa kiya

    yahi wo qatil hain jinhon ne

    har rangin KHayal ka qatl kiya aur use

    shahadat jaise azim eazaz se nawaza

    yahi hain wo jinhon ne hamari sochon ko uljha kar hamari lashon ki tijarat ki

    aaKHir kaun hain ye log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now