aaKHir kyon
mere lawn kī ghaas
roz raat meñ baḌh jaatī hai
raat meñ hī har ghaas bhalā kyoñ baḌhtī hai
kyā sūraj se Dartī hai
merī muñDer kī sabz chañbelī
kāñToñ-bharī dīvār pe
añdhiyāre meñ sīḌhī sīḌhī chaḌhtī hai
raat meñ bel bhalā kyoñ chaḌhtī hai
kyā sūraj se Dartī hai
mere ghar par os kī barkhā
shaam Dhale se chupke chupke barastī hai
phūl-pāt meñ bastī hai
raat meñ os bhalā kyoñ paḌtī hai
kyā sūraj se Dartī hai
sūraj se ham sab Darte haiñ
āḳhir kyoñ
mere lawn ki ghas
roz raat mein baDh jati hai
raat mein hi har ghas bhala kyon baDhti hai
kya suraj se Darti hai
meri munDer ki sabz chanbeli
kanTon-bhari diwar pe
andhiyare mein siDhi siDhi chaDhti hai
raat mein bel bhala kyon chaDhti hai
kya suraj se Darti hai
mere ghar par os ki barkha
sham Dhale se chupke chupke barasti hai
phul-pat mein basti hai
raat mein os bhala kyon paDti hai
kya suraj se Darti hai
suraj se hum sab Darte hain
aaKHir kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.