aaKHirash
kaT ga.e haath
bujh ga.iiñ āñkheñ
so gayā zehn
Dhal ga.e jazbe
dil dhḌaknā magar nahīñ bhūlā
phuul kī pattiyoñ pe shabnam ke
chand motī ubhar ke Duub ga.e
sūrajoñ ne bujhā bujhā Daale
jhilmilāte hue diye saare
aaj phir sogvār hai dhartī
dekh ke ḳhūñ-fishāñ ujāloñ ko
aaj phir shola-zā havāoñ se
jal rahā hai harā-bharā mausam
aaj phir dev-zā pahāḌoñ se
aa rahī haiñ gurasna āvāzeñ
kaT ga.e haath
bujh ga.iiñ āñkheñ
so gayā zehn
Dhal ga.e jazbe
dil bhī kam-kam dhaḌak rahā hai ab
kaT gae hath
bujh gain aankhen
so gaya zehn
Dhal gae jazbe
dil dhDakna magar nahin bhula
phul ki pattiyon pe shabnam ke
chand moti ubhar ke Dub gae
surajon ne bujha bujha Dale
jhilmilate hue diye sare
aaj phir sogwar hai dharti
dekh ke KHun-fishan ujalon ko
aaj phir shola-za hawaon se
jal raha hai hara-bhara mausam
aaj phir dew-za pahaDon se
aa rahi hain gurasna aawazen
kaT gae hath
bujh gain aankhen
so gaya zehn
Dhal gae jazbe
dil bhi kam-kam dhaDak raha hai ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.