aaKHiri bus
āḳhirī bus bhī lo ab guzar hī ga.ī
raat añdherī
havā tez
bārish bhī thamtī nahīñ
aur manzil tumhārī bahut duur hai
aise meñ ab kahāñ jāogī
aao
yādoñ kī dahlīz par baiTh kar
bāda-e-ahd-e-rafta ke sāġhar meñ ham
talḳhiyāñ haal kī ghol deñ
aaj ko bhuul kar
kal ko āvāz deñ
aa.ina to salāmat nahīñ hogā ab
tum ne sargoshiyoñ meñ diyā yuuñ javāb
aa.ina mere tum ho salāmat raho
aaj ye aa.ina bhī shikasta hai ḳhud dekh lo
zindagī pā-barahna hai ḳhud dekh lo
aaKHiri bus bhi lo ab guzar hi gai
raat andheri
hawa tez
barish bhi thamti nahin
aur manzil tumhaari bahut dur hai
aise mein ab kahan jaogi
aao
yaadon ki dahliz par baiTh kar
baada-e-ahd-e-rafta ke saghar mein hum
talKHiyan haal ki ghol den
aaj ko bhul kar
kal ko aawaz den
aaina to salamat nahin hoga ab
tum ne sargoshiyon mein diya yun jawab
aaina mere tum ho salamat raho
aaj ye aaina bhi shikasta hai KHud dekh lo
zindagi pa-barahna hai KHud dekh lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.