aaKHiri Diary
pandrah roz alālat ke, aise guzre jin meñ bāham rābta na thā
phail gayā ik tanhā din tab dūsre tanhā din se milā
dhīre dhīre iiñT pe iiñT jamī
mere chāroñ taraf dīvār banī
pandrah roz ke ba.ad kahīñ ye zindāñ TuuTā
vāpas lauTā apnī duniyā meñ
sab kuchh vaise hī paḌā hai jaise chhoḌ gayā thā
mez usī tarah tirchhī rakkhī hai
rack se ek kitāb nikālī thī yūñhī khulī paḌī hai
dhuup utartī dhuup mirī almārī ke aadhe paT par rukī huī hai
ab vo yahīñ se vāpas ho jā.egī
jaise us kī hadeñ hamesha se muqarrar haiñ
jaise mere hone na hone kā koī farq nahīñ
khiḌkī se phir vahī havā.eñ lauT aa.iiñ haiñ
mere siine meñ jo saañs kī sūrat tair chukī haiñ
biite pandrah dinoñ meñ shāyad vo ajdād kī taskīñ kā sāmān banī hoñ
vo ḳhush hoñ mere siine ke bhatte se un kā tanaffus chaltā hai
mire zariye vo is duniyā meñ ab bhī jaarī aur saarī haiñ
lekin ab to un kā shajar duur duur tak phail gayā hai
un ke jārī-sārī rahne kā ehsās mire hone na hone kā pāband nahīñ
maiñ jo nahīñ thā sab kuchh vaise hī rukā paḌā hai
bed se ek adhūrā ḳhat ab bhī jhāñk rahā hai
ye ḳhat maiñ ne tum ko likkhā thā
kamre ke goshe meñ dubkā sannāTā
merā hamesha kā hamrāz vahī sannāTā lauT aayā hai
sargoshī meñ mujh se kahtā hai
tum is ḳhat se umr meñ pandrah roz baḌe ho
us din vo saarī bāteñ kitnī sachchī thīñ!
vo sachchā.ī aTal hai
vahīñ khaḌī hai
merī saarī nazmoñ kī mānind
jo merī biitī sāñsoñ kā katba haiñ
zinda haiñ pā.inda haiñ
mere hone na hone kī pāband nahīñ
pandrah roz alalat ke, aise guzre jin mein baham rabta na tha
phail gaya ek tanha din tab dusre tanha din se mila
dhire dhire inT pe inT jami
mere chaaron taraf diwar bani
pandrah roz ke baad kahin ye zindan TuTa
wapas lauTa apni duniya mein
sab kuchh waise hi paDa hai jaise chhoD gaya tha
mez usi tarah tirchhi rakkhi hai
rack se ek kitab nikali thi yunhi khuli paDi hai
dhup utarti dhup meri almari ke aadhe paT par ruki hui hai
ab wo yahin se wapas ho jaegi
jaise us ki haden hamesha se muqarrar hain
jaise mere hone na hone ka koi farq nahin
khiDki se phir wahi hawaen lauT aain hain
mere sine mein jo sans ki surat tair chuki hain
bite pandrah dinon mein shayad wo ajdad ki taskin ka saman bani hon
wo KHush hon mere sine ke bhatte se un ka tanaffus chalta hai
mere zariye wo is duniya mein ab bhi jari aur sari hain
lekin ab to un ka shajar dur dur tak phail gaya hai
un ke jari-sari rahne ka ehsas mere hone na hone ka paband nahin
main jo nahin tha sab kuchh waise hi ruka paDa hai
bed se ek adhura KHat ab bhi jhank raha hai
ye KHat main ne tum ko likkha tha
kamre ke goshe mein dubka sannaTa
mera hamesha ka hamraaz wahi sannaTa lauT aaya hai
sargoshi mein mujh se kahta hai
tum is KHat se umr mein pandrah roz baDe ho
us din wo sari baaten kitni sachchi thin!
wo sachchai aTal hai
wahin khaDi hai
meri sari nazmon ki manind
jo meri biti sanson ka katba hain
zinda hain painda hain
mere hone na hone ki paband nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.