aaKHiri din se pahle
aur dekho ye vo shaḳhs hai jo azal se yūñhī chal rahā hai
yūñhī jāgte meñ bhī chaltā hai sote meñ bhī
is ke ik haath meñ qurs-e-mahtāb hai dūsre
haath meñ kurra-e-arz hai paañv talvār kī dhaar par haiñ
aur dekho ki asmāt meñ bhiiḌ hai ye vahī log haiñ
jo nahīñ jānte haiñ ki vo kuchh nahīñ jānte
aur dekho ki vo shaḳhs jo nekiyoñ aur gunāhoñ ke misqāl
uThā.e hue chal rahā hai vo ye jāntā hai ki is bhiiḌ
meñ kuchh khule log haiñ kuchh chhupe log haiñ vo kisī
lamhe us shaḳhs par apnī jaltī huī muTThiyāñ pheñk deñge
vo dhamāke chhupā.e hue muTThiyoñ meñ khaḌe haiñ
aur dekho agar kurra-e-arz aur qurs-e-mahtāb ko
rakkheñ mīzān meñ ek jānib udhar un dhamākoñ
ko rakkheñ to donoñ barābar hī nikleñge lekin
ye insāf kaise ho? andhā to mīzān usī vaqt
uThā.egā jab ki vo shaḳhs pul se salāmat guzar jaa.e
andhe ne kab se munādī yahī kar rakhī hai
lāThī se anjān ko bhī muāfī nahīñ mil sakegī
aur dekho ki vo log jo jānte haiñ ki vo jānte haiñ
rassiyāñ un kī lambī haiñ vo is liye to andhe hī
ko baḳhshte haiñ na lāThī ko
un ke diloñ par samā.at basārat pe mohreñ lagī haiñ
aur dekho ki ye pul bhī kaisā hai ḳhalā us ke uupar hai
nīche añdherā hai donoñ sire us ke zulmāt meñ haiñ
vo jo kahte haiñ zulmāt ke nīche murdoñ kī ik saltanat hai
kyā vo ye nahīñ jānte haiñ ki murdoñ kī vo saltanat kis jagah hai
kyā vo ye nahīñ jaate haiñ ki vo shaḳhs vo ḳhud haiñ
un ko jatā do adam kā ḳhalā aur murdoñ kī saltanat to
yahīñ hai tumhārī khulī aur chhupī muTThiyoñ meñ!
aur dekho ye wo shaKHs hai jo azal se yunhi chal raha hai
yunhi jagte mein bhi chalta hai sote mein bhi
is ke ek hath mein qurs-e-mahtab hai dusre
hath mein kurra-e-arz hai panw talwar ki dhaar par hain
aur dekho ki asmat mein bhiD hai ye wahi log hain
jo nahin jaante hain ki wo kuchh nahin jaante
aur dekho ki wo shaKHs jo nekiyon aur gunahon ke misqal
uThae hue chal raha hai wo ye jaanta hai ki is bhiD
mein kuchh khule log hain kuchh chhupe log hain wo kisi
lamhe us shaKHs par apni jalti hui muTThiyan phenk denge
wo dhamake chhupae hue muTThiyon mein khaDe hain
aur dekho agar kurra-e-arz aur qurs-e-mahtab ko
rakkhen mizan mein ek jaanib udhar un dhamakon
ko rakkhen to donon barabar hi niklenge lekin
ye insaf kaise ho? andha to mizan usi waqt
uThaega jab ki wo shaKHs pul se salamat guzar jae
andhe ne kab se munadi yahi kar rakhi hai
laThi se anjaan ko bhi muafi nahin mil sakegi
aur dekho ki wo log jo jaante hain ki wo jaante hain
rassiyan un ki lambi hain wo is liye to andhe hi
ko baKHshte hain na laThi ko
un ke dilon par samaat basarat pe mohren lagi hain
aur dekho ki ye pul bhi kaisa hai KHala us ke upar hai
niche andhera hai donon sire us ke zulmat mein hain
wo jo kahte hain zulmat ke niche murdon ki ek saltanat hai
kya wo ye nahin jaante hain ki murdon ki wo saltanat kis jagah hai
kya wo ye nahin jate hain ki wo shaKHs wo KHud hain
un ko jata do adam ka KHala aur murdon ki saltanat to
yahin hai tumhaari khuli aur chhupi muTThiyon mein!
- Book : aaina dar aaina (Pg. 122)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.