aaKHiri KHwahish
nazmoñ kī kitāb meñ
logoñ ko us kī āḳhirī ḳhvāhish milī
us ne likhā thā
merī āñkheñ us gulū-kār ko de denā
jo apne maddāh aur rañg dekhnā chāhtā ho
aur merā dil is mujassama-sāz ke liye hai
jo apnā dil kisī mujassame meñ rakh ke bhuul gayā ho
mere haath us mallāh kī amānat haiñ
jis ke haath un dinoñ kaaT diye ga.e the
jab kashtiyāñ jalā dī ga.iiñ
aur dariyā paar karānā sab se baḌā jurm thā
us ne kuchh logoñ ko dūsre kināre tak pahuñchā diyā
vāpsī pe sarkārī kārinde us ke muntazir the
vo apne hāthoñ ke baare meñ kuchh nahīñ batātā
magar maiñ un logoñ meñ shāmil thā
jo us kī kashtī meñ dūsre kināre tak ga.e the
āñkheñ dil aur haath
kisī bhī shaḳhs ko zinda rakh sakte haiñ
aur maar sakte haiñ
nazmon ki kitab mein
logon ko us ki aaKHiri KHwahish mili
us ne likha tha
meri aankhen us gulu-kar ko de dena
jo apne maddah aur rang dekhna chahta ho
aur mera dil is mujassama-saz ke liye hai
jo apna dil kisi mujassame mein rakh ke bhul gaya ho
mere hath us mallah ki amanat hain
jis ke hath un dinon kaT diye gae the
jab kashtiyan jala di gain
aur dariya par karana sab se baDa jurm tha
us ne kuchh logon ko dusre kinare tak pahuncha diya
wapsi pe sarkari karinde us ke muntazir the
wo apne hathon ke bare mein kuchh nahin batata
magar main un logon mein shamil tha
jo us ki kashti mein dusre kinare tak gae the
aankhen dil aur hath
kisi bhi shaKHs ko zinda rakh sakte hain
aur mar sakte hain
- Book : saarii nazmen (Pg. 34)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.