aaKHiri kil
ek ḳhūbsūrat din
maiñ ne sochā
maiñ apne zer-e-intizām
baara sutūnoñ ko ārāsta karūñ
phir maiñ ne bahs kī
ek sarbarāh kī haisiyat se
merā faisla hogā
ki maiñ in sutūnoñ ko kaise ārāsta karūñ
masnūī phūloñ ke gul-daste lagā.ūñ
jāmid hayāt tasvīreñ
yā shā.eroñ ke ḳhāke
ta.alīmī board baiThā muskurātā rahā
aur sister 'īñā' bhī
aur 'sayyad-tāhir' bhī
aur 'mister-ashraf' bhī
aur phir sab ne ba-yak-āvāz kahā
aap jo chāheñ kareñ
maiñ ne calendar ke baara mahīnoñ se
baara urdu shā.eroñ ke ḳhāke nikāle
aur frame karā liye
mazdūroñ ne batāyā
ham ne har mumkin koshish kar lī
in mazbūt sutūnoñ meñ kīleñ nahīñ gaaḌī jā saktīñ
ta.alīmī board ne hathauḌā uThāyā
aur sister 'īñā' ne
aur 'sayyad-tāhir' ne
aur mister-ashraf ne
aur mez par bajā kar
ba-yak-āvāz kahā
ye aap ke tābūt meñ āḳhirī kiil thii!
ek KHubsurat din
main ne socha
main apne zer-e-intizam
bara sutunon ko aarasta karun
phir main ne bahs ki
ek sarbarah ki haisiyat se
mera faisla hoga
ki main in sutunon ko kaise aarasta karun
masnui phulon ke gul-daste lagaun
jamid hayat taswiren
ya shaeron ke KHake
talimi board baiTha muskuraata raha
aur sister 'ina' bhi
aur 'sayyad-tahir' bhi
aur 'mister-ashraf' bhi
aur phir sab ne ba-yak-awaz kaha
aap jo chahen karen
main ne calendar ke bara mahinon se
bara urdu shaeron ke KHake nikale
aur frame kara liye
mazduron ne bataya
hum ne har mumkin koshish kar li
in mazbut sutunon mein kilen nahin gaDi ja saktin
talimi board ne hathauDa uThaya
aur sister 'ina' ne
aur 'sayyad-tahir' ne
aur mister-ashraf ne
aur mez par baja kar
ba-yak-awaz kaha
ye aap ke tabut mein aaKHiri kil thi!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 548)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.