aaKHiri lafz pahli aawaz
kin harfoñ meñ jaan hai merī
kin lafzoñ par dam niklegā
soch rahā huuñ
abjad saarī yaad hai mujh ko
lekin is se kyā hotā hai
ab to kisī bhī harf kā chehra yuuñ lagtā hai
jaise vo āvāz ho us pahle insāñ kī
jo ḳhud ko sāyoñ ke jahāñ meñ tanhā pā kar chīḳh paḌā ho
aur us kī āvāz gale meñ ghuT kar
kuchh niklī
aur is se pahle ki kuchh nikle
naam bane
sannāTe meñ Duub ga.ī ho
kin harfon mein jaan hai meri
kin lafzon par dam niklega
soch raha hun
abjad sari yaad hai mujh ko
lekin is se kya hota hai
ab to kisi bhi harf ka chehra yun lagta hai
jaise wo aawaz ho us pahle insan ki
jo KHud ko sayon ke jahan mein tanha pa kar chiKH paDa ho
aur us ki aawaz gale mein ghuT kar
kuchh nikli
aur is se pahle ki kuchh nikle
nam bane
sannaTe mein Dub gai ho
- Book : shab-khoon(shumara-number-41) (Pg. 18)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.