aalam-e-ujlat
ā.īna-ḳhāna-e-ālam mujhe ma.alūm hai ye
mauja-e-vaqt pe jo aks ubharte haiñ yahāñ
un kī qismat meñ fanā likhī hai
na to imroz hai kuchh aur na hī fardā hai
ek do roz kā lamha hai ye hastī apnī
saikḌoñ aks ubharte haiñ bikharne ke liye
ā.īna-ḳhāne kī vīrānī kā aalam ye hai
ek bhī aks ko mahfūz nahīñ rahnā hai
aks-dar-aks ajab ālam-e-ujlat hai yahāñ
roz tasvīr badal jaatī hai mai-ḳhāne meñ
sāġhar-e-hast uThāne bhī nahīñ paate abhī
sāqī-e-nīst hameñ jām-e-fanā detā hai
hai ajab ālam-e-ujlat ki yahāñ har lamha
dūsre lamhe ko khā jaatā hai qātil ban kar
āb-o-gil gūñdh ke kuuze jo banā.e ga.e haiñ
un kī taḳhlīq kā hāsil hī bikharnā Thahrā
kūza-gar kyā tujhe taklīf nahīñ hotī jab
terā fan ḳhaak meñ mil jaatā hai
aaina-KHana-e-alam mujhe malum hai ye
mauja-e-waqt pe jo aks ubharte hain yahan
un ki qismat mein fana likhi hai
na to imroz hai kuchh aur na hi farda hai
ek do roz ka lamha hai ye hasti apni
saikDon aks ubharte hain bikharne ke liye
aaina-KHane ki virani ka aalam ye hai
ek bhi aks ko mahfuz nahin rahna hai
aks-dar-aks ajab aalam-e-ujlat hai yahan
roz taswir badal jati hai mai-KHane mein
saghar-e-hast uThane bhi nahin pate abhi
saqi-e-nist hamein jam-e-fana deta hai
hai ajab aalam-e-ujlat ki yahan har lamha
dusre lamhe ko kha jata hai qatil ban kar
aab-o-gil gundh ke kuze jo banae gae hain
un ki taKHliq ka hasil hi bikharna Thahra
kuza-gar kya tujhe taklif nahin hoti jab
tera fan KHak mein mil jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.