aanch
zindagī-bhar ke ġhalat a.amāl kī pādāsh meñ
dī ga.ī āḳhir use nār-e-jahannam kī sazā
do farishte us ko chhoḌ aa.e jahannam-zār meñ
chār-sū ik aag kā tūfān thā jis meñ bapā
nāzim-e-dozaḳh ne agle roz jab dekhā use
de rahā thā vo maze se taav apnī mūñchh ko
be-niyāz-e-ātish-e-sozāñ thā vo mard-e-ajīb
us kī āñkhoñ meñ na thā koī nishān-e-iztirāb
koī saayā karb kā chehre pe lahrātā na thā
jaise bargad ke ghane saa.e meñ baiThā ho koī
aisī hiddat meñ pasīna tak use aatā na thā
nāzim-e-dozaḳh ne hairat meñ kiyā us se savāl
baat kyā hai kuchh asar is aag kā tujh par nahīñ
dekh kar terī girāñ-jānī bahut hairāñ huuñ maiñ
tujh ko sho.aloñ kī harārat kā zarā bhī Dar nahīñ
hañs ke vo bolā ki sāhab ye bhī koī aag hai
mere jism-o-jāñ ko is kī aañch kyā pighlā.egī
zindagī-bhar maiñ hasad kī aag meñ jaltā rahā
mujh par ab nār-e-jahannam kyā asar dikhlā.egī
zindagi-bhar ke ghalat aamal ki padash mein
di gai aaKHir use nar-e-jahannam ki saza
do farishte us ko chhoD aae jahannam-zar mein
chaar-su ek aag ka tufan tha jis mein bapa
nazim-e-dozaKH ne agle roz jab dekha use
de raha tha wo maze se taw apni munchh ko
be-niyaz-e-atish-e-sozan tha wo mard-e-ajib
us ki aankhon mein na tha koi nishan-e-iztirab
koi saya karb ka chehre pe lahraata na tha
jaise bargad ke ghane sae mein baiTha ho koi
aisi hiddat mein pasina tak use aata na tha
nazim-e-dozaKH ne hairat mein kiya us se sawal
baat kya hai kuchh asar is aag ka tujh par nahin
dekh kar teri giran-jaani bahut hairan hun main
tujh ko shoalon ki hararat ka zara bhi Dar nahin
hans ke wo bola ki sahab ye bhi koi aag hai
mere jism-o-jaan ko is ki aanch kya pighlaegi
zindagi-bhar main hasad ki aag mein jalta raha
mujh par ab nar-e-jahannam kya asar dikhlaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.