aankh-micholi
dil ke darvāze par kis ne dastak dī hai?
koī nahīñ hai!
andar bāhar itnī gahrī itnī bojhal
ḳhāmoshī hai
jaise fazā kā dam ghuT jaa.e
lekin dekho duur kahīñ se
gore nañge aur kuñvāre do pairoñ meñ
ujlī ujlī chāñdī kī zanjīreñ pahne
ziina chaḌhtī aa.ī achānak
chham-chham kartī ek purānī yaad ki jis se
sahm ga.e sochoñ ke saa.e
jaise qabristān se uTh kar
ruuh kisī kī aa.e
aur phir aañkh jhapakte kho jaa.e!
dil ke darwaze par kis ne dastak di hai?
koi nahin hai!
andar bahar itni gahri itni bojhal
KHamoshi hai
jaise faza ka dam ghuT jae
lekin dekho dur kahin se
gore nange aur kunware do pairon mein
ujli ujli chandi ki zanjiren pahne
zina chaDhti aai achanak
chham-chham karti ek purani yaad ki jis se
sahm gae sochon ke sae
jaise qabristan se uTh kar
ruh kisi ki aae
aur phir aankh jhapakte kho jae!
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 156)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.