aankhen aahan-posh na hongi
saarī dīvāreñ
Dheh ga.iiñ
īñToñ ke girne kī āvāzeñ
ehsās ban ga.iiñ
merā zira-baktar
TukḌe TukḌe ho kar bikhar gayā
aur āñkheñ āzād ho ga.iiñ
amr-o-navāhī ke ma.ānī jānñe ke baa'd
ahkāmoñ kā raaz khulā
bai'at kā matlab samajh meñ aaya
aur
haath duā.eñ maañg uThe
mere ḳhuun se sho'le bhaḌke
taḳht-o-tāj meñ aag lag ga.ī
ahkām sunāne vaalī
insānoñ ko koḌoñ ke bal par
har pal naach nachāne vaalī āvāz
ab ḳhā.if thī
apne rab se apne dil se
kyā dīvāreñ
phir saare vajūd ko Dhak leñgī
shāyad
jab tak dil mahkūm rahegā
āñkheñ āhan-posh na hoñgī
sari diwaren
Dheh gain
inTon ke girne ki aawazen
ehsas ban gain
mera zira-baktar
TukDe TukDe ho kar bikhar gaya
aur aankhen aazad ho gain
amr-o-nawahi ke maani jaanne ke ba'd
ahkaamon ka raaz khula
bai'at ka matlab samajh mein aaya
aur
hath duaen mang uThe
mere KHun se sho'le bhaDke
taKHt-o-taj mein aag lag gai
ahkaam sunane wali
insanon ko koDon ke bal par
har pal nach nachane wali aawaz
ab KHaif thi
apne rab se apne dil se
kya diwaren
phir sare wajud ko Dhak lengi
shayad
jab tak dil mahkum rahega
aankhen aahan-posh na hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.