aankhen
suno jaanā
mujhe ik baat kahnī thī
ye jo āñkheñ tumhārī haiñ
bahut hī ḳhūb-sūrat haiñ
na jaane kyoñ magar mujh ko
yahī mahsūs hotā hai
kī in ḳhvābīda āñkhoñ meñ
hazāroñ ḳhvāhisheñ aisī haiñ
jo ab tak kisī
anjām tak pohñchī nahīñ haiñ
aur saare ḳhvāb ik mehvar pe gardish kar rahe haiñ
na jaane kaun sā vo vaqt hogā jab
Thahar jā.egā ye lamha
aur ye āñkheñ khulī rah jā.eñgī
vo saare ḳhvāb saarī ḳhvāhisheñ bas dekhte hī dekhte
dam toḌ deñgī in hasīñ ḳhush-fahm āñkhoñ meñ
magar kyā ḳhuub ho tum bhī
maiñ jab bhī dekhtā huuñ ġhaur se in kattha.ī āñkhoñ meñ
yuuñ mahsūs hotā hai
ki jaise ghūrtī rahtī hoñ mujh ko
aur mujh se kah rahī hoñ ki
merī āñkheñ ye tum rakh lo
tumhāre ḳhvāb maiñ rakh luuñ
suno jaana
mujhe ek baat kahni thi
ye jo aankhen tumhaari hain
bahut hi KHub-surat hain
na jaane kyon magar mujh ko
yahi mahsus hota hai
ki in KHwabida aankhon mein
hazaron KHwahishen aisi hain
jo ab tak kisi
anjam tak pohnchi nahin hain
aur sare KHwab ek mehwar pe gardish kar rahe hain
na jaane kaun sa wo waqt hoga jab
Thahar jaega ye lamha
aur ye aankhen khuli rah jaengi
wo sare KHwab sari KHwahishen bas dekhte hi dekhte
dam toD dengi in hasin KHush-fahm aankhon mein
magar kya KHub ho tum bhi
main jab bhi dekhta hun ghaur se in katthai aankhon mein
yun mahsus hota hai
ki jaise ghurti rahti hon mujh ko
aur mujh se kah rahi hon ki
meri aankhen ye tum rakh lo
tumhaare KHwab main rakh lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.