aankhon ke dhage
maiñ jo chaurahe pe khaḌī
apnī kamān kī taraf lauTnā chāhtī huuñ
vo jo lahū meñ phañsā
kuchh aur jiinā chāhtā hai
saaya jaise kisī dīvār ke saath shāmil ho gayā ho
pāniyoñ meñ jaise alam ThanDe ho rahe hoñ
tum ki shaam ke sūraj se dhuup churāte ho
maiñ ki sub.h kī raat bhī churā letī huuñ
aur thakā-māñda sub.h kā taarā
jab saare āsmān pe akelā hotā hai
usī vaqt kī qadr kartī huuñ
to dhartī kā ek din
merī umr kā ek hissa kaaT Dāltā hai
main jo chaurahe pe khaDi
apni kaman ki taraf lauTna chahti hun
wo jo lahu mein phansa
kuchh aur jina chahta hai
saya jaise kisi diwar ke sath shamil ho gaya ho
paniyon mein jaise alam ThanDe ho rahe hon
tum ki sham ke suraj se dhup churaate ho
main ki subh ki raat bhi chura leti hun
aur thaka-manda subh ka tara
jab sare aasman pe akela hota hai
usi waqt ki qadr karti hun
to dharti ka ek din
meri umr ka ek hissa kaT Dalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.