aankhon ke shahr mein
phūloñ se ladī shāḳhoñ ke tale
mahtāb kī shītal kirnoñ meñ
jhīloñ ke kināre jharnoñ ke nazdīk suhānī vaadī meñ
raste pe kabhī colony meñ
gulshan gulshan sahrā sahrā
sāhil sāhil dariyā dariyā
tere mere qadmoñ ke nishāñ ab kahāñ kahāñ tak phail ga.e
milte haiñ magar aise bhī nahīñ jaisā hameñ log samajhte haiñ
har aañkh ta.āqub meñ hai ab
har saaya pīchhā kartā hai
har chehre se jī Dartā hai
mashkūk nigāhoñ ke kitne sailāb hamāre pīchhe haiñ
dushman ke ruup meñ ab kitne ahbāb hamāre pīchhe haiñ
āñkhoñ ke shahr meñ rah kar ham
apne chehroñ kī tahrīreñ logoñ se chhupāte bhī kaise
patthar kī bastī meñ dil ke shīshe ko bachāte bhī kaise
phulon se ladi shaKHon ke tale
mahtab ki shital kirnon mein
jhilon ke kinare jharnon ke nazdik suhani wadi mein
raste pe kabhi colony mein
gulshan gulshan sahra sahra
sahil sahil dariya dariya
tere mere qadmon ke nishan ab kahan kahan tak phail gae
milte hain magar aise bhi nahin jaisa hamein log samajhte hain
har aankh taaqub mein hai ab
har saya pichha karta hai
har chehre se ji Darta hai
mashkuk nigahon ke kitne sailab hamare pichhe hain
dushman ke rup mein ab kitne ahbab hamare pichhe hain
aankhon ke shahr mein rah kar hum
apne chehron ki tahriren logon se chhupate bhi kaise
patthar ki basti mein dil ke shishe ko bachate bhi kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.