aankhon ke zaKHm
āñkheñ niilī jhiil sī hoñ
aur surḳh ho jaa.eñ
ikkīs saal kī umr meñ
baal safed ho jaa.eñ
chehre kī surḳhī zardī meñ badle
jis āvāz ke aane se
din thak jaatā hai
kis kī hai
us āvāz kī khoj
parā.ī sī lagtī hai
mausam badal rahā hai
aur bahār ke Dere
manzar manzar lagne vaale haiñ
fasleñ bhī tayyār khaḌī haiñ
aur hamārī ruuh meñ halchal
sukh ke khoj meñ har-sū har pal
dil kā haal ḳhudā jaane hai
maiñ āñkhoñ ke zaḳhm dikhāne
tere dar par aa pahuñchī huuñ
aankhen nili jhil si hon
aur surKH ho jaen
ikkis sal ki umr mein
baal safed ho jaen
chehre ki surKHi zardi mein badle
jis aawaz ke aane se
din thak jata hai
kis ki hai
us aawaz ki khoj
parai si lagti hai
mausam badal raha hai
aur bahaar ke Dere
manzar manzar lagne wale hain
faslen bhi tayyar khaDi hain
aur hamari ruh mein halchal
sukh ke khoj mein har-su har pal
dil ka haal KHuda jaane hai
main aankhon ke zaKHm dikhane
tere dar par aa pahunchi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.