aansuon se bane hue hum log
Thes lag jaa.e to nadī kī tarah
Thes lag jaa.e to nadī kī tarah
pahroñ bahte haiñ apnī āñkhoñ meñ
koī chheḌe to kuchh nahīñ kahte
sūrat-e-gul havā se kyā shikva
shaam kī aañch se ulajhnā kyā
haañ magar saañs meñ koī larzish
muddatoñ saath saath rahtī hai
kis ko batlā.eñ kis qadar nauhe
rañj meñ kis qadar base naġhme
giit milne ke aur bichhaḌne ke
kitne kirdār ik kahānī ke
apne ehsās meñ sisakte haiñ
jin ko ye log sochte bhī nahīñ
aise rishtoñ ko ham pirote haiñ
abr kī tarah saa.e kī chādar
sab kī rūhoñ pe Daal dete haiñ
aur saarī thakan azāboñ kī
ek bārish meñ Dhaal lete haiñ
ḳhud sulagte haiñ kuchh nahīñ kahte
ḳhud sisakte haiñ kuchh nahīñ kahte
sūrat-e-gul havā se kyā shikva
shaam kī aañch se ulajhnā kyā
āñsuoñ se bane hue ham log
Thes lag jae to nadi ki tarah
Thes lag jae to nadi ki tarah
pahron bahte hain apni aankhon mein
koi chheDe to kuchh nahin kahte
surat-e-gul hawa se kya shikwa
sham ki aanch se ulajhna kya
han magar sans mein koi larzish
muddaton sath sath rahti hai
kis ko batlaen kis qadar nauhe
ranj mein kis qadar base naghme
git milne ke aur bichhaDne ke
kitne kirdar ek kahani ke
apne ehsas mein sisakte hain
jin ko ye log sochte bhi nahin
aise rishton ko hum pirote hain
abr ki tarah sae ki chadar
sab ki ruhon pe Dal dete hain
aur sari thakan azabon ki
ek barish mein Dhaal lete hain
KHud sulagte hain kuchh nahin kahte
KHud sisakte hain kuchh nahin kahte
surat-e-gul hawa se kya shikwa
sham ki aanch se ulajhna kya
aansuon se bane hue hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.